watan
ai vatan ai rāhat-o-ārām ke dilkash dayār
tere shahroñ par tasadduq tere sahrā par nazār
husn meñ tū be-badal hai ishq meñ tū lā-javāb
raam kī tujh meñ javānī tujh meñ siitā kā shabāb
khet tere rashk-e-gulshan dasht tere lāla-zār
tujh ko baḳhshī hai mashiyyat ne bisāt-e-zar-nigār
tujh meñ haiñ ābād daulat-mand bhī nādār bhī
sīm-o-zar ke ganj bhī haiñ ret ke ambār bhī
ek hī saa.at meñ to hai shaad bhī nāshād bhī
tere chehre se ayaañ hai daad bhī fariyād bhī
hai kahīñ tū maskan-e-mazdūr vaqt-e-muflisī
hai kahīñ sarmāya-dāroñ ke liye jām-e-ḳhushī
azm-e-rāsiḳh bhī hai tujh meñ shaukat-e-dārā bhī hai
lashkar-e-jarrār kā tū afsar-e-a.alā bhī hai
ai vatan sab kuchh hai tujh meñ rūh-e-āzādī nahīñ
khā rahā hai tere bachchoñ ko ġhulāmī kā yaqīñ
ho rahī haiñ muslim-o-hindū meñ ḳhāna-jañgiyāñ
gir paḌā bhārat ke hāthoñ se uḳhuvvat kā nishāñ
ai watan ai rahat-o-aram ke dilkash dayar
tere shahron par tasadduq tere sahra par nazar
husn mein tu be-badal hai ishq mein tu la-jawab
ram ki tujh mein jawani tujh mein sita ka shabab
khet tere rashk-e-gulshan dasht tere lala-zar
tujh ko baKHshi hai mashiyyat ne bisat-e-zar-nigar
tujh mein hain aabaad daulat-mand bhi nadar bhi
sim-o-zar ke ganj bhi hain ret ke ambar bhi
ek hi saat mein to hai shad bhi nashad bhi
tere chehre se ayan hai dad bhi fariyaad bhi
hai kahin tu maskan-e-mazdur waqt-e-muflisi
hai kahin sarmaya-daron ke liye jam-e-KHushi
azm-e-rasiKH bhi hai tujh mein shaukat-e-dara bhi hai
lashkar-e-jarrar ka tu afsar-e-ala bhi hai
ai watan sab kuchh hai tujh mein ruh-e-azadi nahin
kha raha hai tere bachchon ko ghulami ka yaqin
ho rahi hain muslim-o-hindu mein KHana-jangiyan
gir paDa bhaarat ke hathon se uKHuwwat ka nishan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.