watan
mirī jaan ho ki mirā badan
tirā jalva-gāh hai ai vatan
tirī ḳhaak un kā ḳhamīr hai
mire ḳhuun meñ ye jhalak tirī
mirī nabz meñ ye chipak tirī
mirī saañs tirī safīr hai
tirī ḳhaak jag kā ḳhulāsa hai
terā husn ek tamāshā hai
tirī phailī god ki baaġh hai
tirī ḳhāk-e-pāk zalīl hai
to ġhulāmiyoñ kī dalīl hai
tirī paud sharm kā daaġh hai
tujhe mā-sivā se girā diyā
hameñ mā-sivā ne miTā diyā
hue tafraqoñ se tamām ham
tujhe jab talak ki bhulā rakhā
hameñ vaqt ne bhī miTā rakhā
bane ghar meñ apne ġhulām ham
tire ḳhuun haiñ ye phaTe phaTe
tire puut haiñ ye baTe baTe
tire dil jigar haiñ ye be-vafā
tirā kuchh lahū hī safed hai
ki ajab tarah kā ye bhed hai
nahīñ bhaa.ī bhaa.ī se āshnā
nahīñ ġhair kā hameñ kuchh gilā
ki ġhulāmiyoñ kā ye phal milā
hameñ tafarqe ke junūn se
tire duudh meñ mirī pyārī maañ
nahīñ dard kī koī bijliyāñ
ki milā de ḳhuun ko ḳhuun se
hameñ bhā.iyoñ se ġhurūr haiñ
tire jahl-o-vahm meñ chuur haiñ
ki jo kaam haiñ so ḳhatā ke haiñ
kahīñ zāt-pāt kī laag hai
kahīñ dīn-dharm kī aag hai
kahīñ bair muft ḳhudā ke haiñ
jinheñ piit hai unheñ jiit hai
yahī jag meñ jiit kī riit hai
tire puut apnoñ se ġhair haiñ
hameñ ġhairiyat ye miTānī hai
hameñ jiit aap pe paanī hai
usī ghar ke ġhair se ġhair haiñ
tire puut bhaa.ī haiñ bhaa.ī huuñ
tire dil se sab hī fidā.ī rahūñ
ki tū aap apnī misāl ho
tire zor kī yahī dhaak ho
ki jahāñ burā.ī se paak ho
tirā ilm haq kā kamāl ho
meri jaan ho ki mera badan
tera jalwa-gah hai ai watan
teri KHak un ka KHamir hai
mere KHun mein ye jhalak teri
meri nabz mein ye chipak teri
meri sans teri safir hai
teri KHak jag ka KHulasa hai
tera husn ek tamasha hai
teri phaili god ki bagh hai
teri KHak-e-pak zalil hai
to ghulamiyon ki dalil hai
teri paud sharm ka dagh hai
tujhe ma-siwa se gira diya
hamein ma-siwa ne miTa diya
hue tafraqon se tamam hum
tujhe jab talak ki bhula rakha
hamein waqt ne bhi miTa rakha
bane ghar mein apne ghulam hum
tere KHun hain ye phaTe phaTe
tere put hain ye baTe baTe
tere dil jigar hain ye be-wafa
tera kuchh lahu hi safed hai
ki ajab tarah ka ye bhed hai
nahin bhai bhai se aashna
nahin ghair ka hamein kuchh gila
ki ghulamiyon ka ye phal mila
hamein tafarqe ke junun se
tere dudh mein meri pyari man
nahin dard ki koi bijliyan
ki mila de KHun ko KHun se
hamein bhaiyon se ghurur hain
tere jahl-o-wahm mein chur hain
ki jo kaam hain so KHata ke hain
kahin zat-pat ki lag hai
kahin din-dharm ki aag hai
kahin bair muft KHuda ke hain
jinhen pit hai unhen jit hai
yahi jag mein jit ki rit hai
tere put apnon se ghair hain
hamein ghairiyat ye miTani hai
hamein jit aap pe pani hai
usi ghar ke ghair se ghair hain
tere put bhai hain bhai hun
tere dil se sab hi fidai rahun
ki tu aap apni misal ho
tere zor ki yahi dhak ho
ki jahan burai se pak ho
tera ilm haq ka kamal ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.