watan ka rag
bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai
har rut har mausam is kā kaisā pyārā pyārā hai
kaisā suhānā kaisā sundar pyārā desh hamārā hai
dukh meñ sukh meñ har hālat meñ bhārat dil kā sahārā hai
bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai
saare jag ke pahāḌ meñ be-misl pahāḌ himāla hai
parbat sab se ūñchā hai ye parbat sab se nirālā hai
bhārat kī rakshā kartā hai ye bhārat kā rakhvālā hai
lākhoñ chashme bahte haiñ ye lākhoñ nadiyoñ vaalā hai
bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai
gañgā-jī kī pyārī lahreñ giit sunātī jaatī haiñ
sadiyoñ kī tahzīb hamārī yaad dilātī jaatī haiñ
bhārat ke gulzāroñ ko sarsabz banātī jaatī haiñ
khetoñ ko hariyālī detī phuul khilātī jaatī haiñ
bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai
kirshn kī bansī ne phūñkī hai ruuh hamārī jānoñ meñ
gautam kī āvāz basī hai mahloñ meñ maidānoñ meñ
'chishtī' ne jo mai dī thī vo ab tak hai paimānoñ meñ
'nānak' kī ta.alīm abhī tak guuñj rahī hai kānoñ meñ
bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai
maz.hab kuchh ho hindī haiñ ham saare bhaa.ī bhaa.ī haiñ
hindū haiñ yā muslim haiñ yā sukh haiñ yā īsā.ī haiñ
prem ne sab ko ek kiyā hai prem ke ham shaidā.ī haiñ
bhārat naam ke āshiq haiñ ham bhārat ke shaidā.ī haiñ
bhārat pyārā desh hamārā sab deshoñ se nyārā hai
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
har rut har mausam is ka kaisa pyara pyara hai
kaisa suhana kaisa sundar pyara desh hamara hai
dukh mein sukh mein har haalat mein bhaarat dil ka sahaara hai
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
sare jag ke pahaD mein be-misl pahaD himala hai
parbat sab se uncha hai ye parbat sab se nirala hai
bhaarat ki raksha karta hai ye bhaarat ka rakhwala hai
lakhon chashme bahte hain ye lakhon nadiyon wala hai
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
ganga-ji ki pyari lahren git sunati jati hain
sadiyon ki tahzib hamari yaad dilati jati hain
bhaarat ke gulzaron ko sarsabz banati jati hain
kheton ko hariyali deti phul khilati jati hain
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
kirshn ki bansi ne phunki hai ruh hamari jaanon mein
gautam ki aawaz basi hai mahlon mein maidanon mein
'chishti' ne jo mai di thi wo ab tak hai paimanon mein
'nanak' ki talim abhi tak gunj rahi hai kanon mein
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
mazhab kuchh ho hindi hain hum sare bhai bhai hain
hindu hain ya muslim hain ya sukh hain ya isai hain
prem ne sab ko ek kiya hai prem ke hum shaidai hain
bhaarat nam ke aashiq hain hum bhaarat ke shaidai hain
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.