watan
kahīñ milte hue parbat gagan se
kahīñ miltī huī gangā jaman se
hai aise hī hameñ ulfat vatan se
ho raġhbat jaise bhauñre ko chaman se
badan meñ hai hamāre is kī miTTī
mohabbat hai hameñ apne vatan se
na dil se ḳhatm ho terī mohabbat
agarche sar judā ho jaa.e tan se
kabhī bhī aazmā lenā hameñ tū
haiñ qurbāñ tujh pe tan man aur dhan se
phir aayā jashn-e-āzādī kā mauqa'
saje haiñ ghar galī kūche dulhan se
hameñ pyārā hai apnā mulk 'faisal'
nahīñ matlab hai kuchh lā’l-e-yaman se
kahin milte hue parbat gagan se
kahin milti hui ganga jaman se
hai aise hi hamein ulfat watan se
ho raghbat jaise bhaunre ko chaman se
badan mein hai hamare is ki miTTi
mohabbat hai hamein apne watan se
na dil se KHatm ho teri mohabbat
agarche sar juda ho jae tan se
kabhi bhi aazma lena hamein tu
hain qurban tujh pe tan man aur dhan se
phir aaya jashn-e-azadi ka mauqa'
saje hain ghar gali kuche dulhan se
hamein pyara hai apna mulk 'faisal'
nahin matlab hai kuchh la’l-e-yaman se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.