watan ki jaan
kisān kaun hai hindostān kā pyārā
vatan kī jaan ġharīboñ kī aañkh kā taarā
kisān tū hī hameñ peT bhar khilātā hai
hamāre vāste ḳhud jaan ko khapātā hai
uThā.e kāñdhe pe hal ko ye shaan hai terī
harī-bharī jo ho pattī vo jaan hai terī
na ḳhauf dhuup kā hai kuchh na lū se Dartā hai
nahā nahā ke pasīne meñ kaam kartā hai
jamā jo khet meñ nibTā ke kaam ko palTā
ki muñh añdhere chalā ghar se shaam ko palTā
amiir tere gadā haiñ vo kaam hai terā
tamām qaum pe ehsān-e-ām hai terā
balā-e-fāqa-kashī tere dam se Taltī hai
tire hī faiz se sonā zamīñ ugaltī hai
anaaj achchhe se achchhā ugaa.e jaatā hai
javāharāt ye jau khā ke tū luTātā hai
basant aate hī khetī jo lahlahātī hai
hañsī sī kuchh tire hoñToñ pe lauT jaatī hai
ye rāt-din jo lagī khet kī hai dhun tujh ko
sikhā diye haiñ batā kisī ne aise gun tujh ko
ḳhushī meñ saarī thakāvaT ko bhuul jaatā hai
ki phūltī hai jo khetī tū phuul jaatā hai
zamīñ meñ biij jo Daalā to phal bhī pā ke rahā
vatan kī ḳhaak ko tū kīmiyā banā ke rahā
kisan kaun hai hindostan ka pyara
watan ki jaan gharibon ki aankh ka tara
kisan tu hi hamein peT bhar khilata hai
hamare waste KHud jaan ko khapata hai
uThae kandhe pe hal ko ye shan hai teri
hari-bhari jo ho patti wo jaan hai teri
na KHauf dhup ka hai kuchh na lu se Darta hai
naha naha ke pasine mein kaam karta hai
jama jo khet mein nibTa ke kaam ko palTa
ki munh andhere chala ghar se sham ko palTa
amir tere gada hain wo kaam hai tera
tamam qaum pe ehsan-e-am hai tera
bala-e-faqa-kashi tere dam se Talti hai
tere hi faiz se sona zamin ugalti hai
anaj achchhe se achchha ugae jata hai
jawaharaat ye jau kha ke tu luTata hai
basant aate hi kheti jo lahlahati hai
hansi si kuchh tere honTon pe lauT jati hai
ye raat-din jo lagi khet ki hai dhun tujh ko
sikha diye hain bata kisi ne aise gun tujh ko
KHushi mein sari thakawaT ko bhul jata hai
ki phulti hai jo kheti tu phul jata hai
zamin mein bij jo Dala to phal bhi pa ke raha
watan ki KHak ko tu kimiya bana ke raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.