watan mein wapsi
kal vo milī jo bachpan meñ mere bhaa.ī se khelā kartī thī
jaane tab kyā baat thī us meñ mujh se bahut hī Dartī thī
par kyā huaa? vo kahāñ ga.ii? ab kaun ye bāteñ jāntā hai
kab itnī duurī se koī shakloñ ko pahchāntā hai
lekin ab jo milī hai mujh se aisā kabhī na dekhā thā
us ko itnī chaah thī merī maiñ ne kabhī na sochā thā
naam bhī us ne bachche kā mere hī naam pe rakkhā thā
phir kahīñ us se bichhaḌ na jā.ūñ aaise mujh ko taktī thī
koī gahrī baat thī jī meñ jise vo kah bhī na saktī thī
aisī chup aur pāgal āñhkeñ damak rahī thiiñ shiddat se
maiñ to sach-much Darne lagā thā is ḳhāmosh mohabbat se
kal wo mili jo bachpan mein mere bhai se khela karti thi
jaane tab kya baat thi us mein mujh se bahut hi Darti thi
par kya hua? wo kahan gai? ab kaun ye baaten jaanta hai
kab itni duri se koi shaklon ko pahchanta hai
lekin ab jo mili hai mujh se aisa kabhi na dekha tha
us ko itni chah thi meri main ne kabhi na socha tha
nam bhi us ne bachche ka mere hi nam pe rakkha tha
phir kahin us se bichhaD na jaun aaise mujh ko takti thi
koi gahri baat thi ji mein jise wo kah bhi na sakti thi
aisi chup aur pagal aanhken damak rahi thin shiddat se
main to sach-much Darne laga tha is KHamosh mohabbat se
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 197)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.