wazir ka KHwab
maiñ ne ik din ḳhvāb meñ dekhā ki ik mujh sā faqīr
gardish-e-paimāna-e-imroz-o-fardā kā asiir
garche bilkul be-gunah thā ho gayā lekin vazīr
ya.anī ik jhoñkā jo aayā bujh ga.ī sham-e-zamīr
muft meñ koThī milī motor milī p.a milā
jab gayā picnic pe bāhar tour kā T.a milā
jab huā mujh par mulammā baḌh ga.ī kuchh āb-o-tāb
Daal lī masrūfiyat kī apne chehre par naqāb
mujh se izzat-dār Darte haiñ maiñ huuñ izzat-ma.āb
''iiñ ki mī bīnam ba bedārīst yārab yā ba ḳhvāb''
ḳhud bhī dil meñ soch kar ye baat sharmātā huuñ maiñ
rāste vīrān ho jaate haiñ jab jaatā huuñ maiñ
ab ye hālat hai ġhizā achchhī hai kapḌe bhī nafīs
aur añgrezī zabāñ bhī bol letā huuñ salīs
mujh se milne ke liye aate haiñ mulkoñ ke ra.iis
raat din lekin nazar meñ mujh ko rakhtī hai police
sab mujhe pahchānte haiñ kis qadar paanī meñ huuñ
huuñ nigahbāñ qaum kā aur ḳhud nigahbānī meñ huuñ
mujh se milne ko sharīf insān aa sakte nahīñ
bār-e-ġham yārān-e-derīna uThā sakte nahīñ
dard-e-dil sunte nahīñ mujh ko sunā sakte nahīñ
biivī aur bachche bhī khānā saath khā sakte nahīñ
sun ke ye farzand se hotī hai hairānī mujhe
''likh diyā min-jumla-e-asbāb-e-vīrānī mujhe''
merī sūrat ko tarastā hai jo tifl-e-shīr-ḳhār
ho chuke haiñ is ke abbā mulk-o-millat par nisār
sab ḳhushāmad-pesha, duniyā-dār aur be-rozgār
raat din milne ko aate haiñ qatār-andar-qatār
jo bhī aa.e us se va.ada kuchh na kuchh kartā huuñ maiñ
sar par aa pahuñchā election is liye Dartā huuñ maiñ
fileñ ghar meñ paḌī haiñ aur daftar meñ hai ghar
shaġhl-e-bekārī bahut hai vaqt behad muḳhtasar
raat din sar par musallat lunch asrāne dinner
aur hukūmat ḳharch agar de de to haj kā bhī safar
āj-kal pesh-e-nazar hai mulk-o-millat kī falāh
ik bhatīje kī dukāñ kā bhī karūñgā iftitāh
mulk ke andar jo aḳhbāroñ ke haiñ nāma-nigār
jin ko bā-izzat nahīñ miltā hai koī rozgār
chaa.e kī dāvat pe ghar bulvā ke un ko baar baar
un se kahtā huuñ ki likkho kuchh na kuchh ham par bhī yaar
vo ye likh dete haiñ akasr achchhī bāteñ is kī haiñ
''nīñd us kī hai dimāġh us kā hai rāteñ us kī haiñ''
mujh se milne aa.e bairūnī mamālik se bashar
vo haiñ merī mamlikat se mujh se zyāda bā-ḳhabar
chāhtā huuñ maiñ ki un se guftugū ho muḳhtasar
vo ye kahte haiñ ki rakh do saare daftar khol kar
vo zamīñ kī pūchhte haiñ āsmāñ kahtā huuñ maiñ
jab samajh meñ kuchh nahīñ aatā to haañ kahtā huuñ maiñ
mulk kā ġham hai na ham ko millat-e-baizā kā ġham
''barq se karte haiñ raushan sham-e-mātam-ḳhāna ham''
garche jāhil huuñ par itnā jāntā huuñ kam se kam
saarī duniyā meñ agar kuchh hai to insāñ kā shikam
ai shikam mere tan-e-fānī ke sadr-e-anjuman
''tū agar merā nahīñ bantā na ban apnā to ban''
mere ik saale kī ik sasurāl kā ik rishta-dār
apnī koshish se mulāzim ho gayā thā ek baar
kyūñki jo sab kā hai us kā bhī hai vo parvardigār
ḳhvesh-parvar hākimoñ meñ ho gayā merā shumār
ab aziiz aa jaa.eñ milne ko to ghabrātā huuñ maiñ
DhūñDte phirte haiñ mujh ko ghar meñ kho jaatā huuñ maiñ
bārgāh-e-haq meñ hāzir ho ke maiñ ne kī duā
peT se machhlī ke yūnus ko kiyā tū ne rihā
qaid se yūsuf ko tū ne izn-e-āzādī diyā
is bhayānak ḳhvāb se āzād kar mujh ko ḳhudā
maiñ nikālā jā.ūñgā be-dast-o-pā aur sar khulā
''jitne arsa meñ mirā lipTā huā bistar khulā''
main ne ek din KHwab mein dekha ki ek mujh sa faqir
gardish-e-paimana-e-imroz-o-farda ka asir
garche bilkul be-gunah tha ho gaya lekin wazir
yani ek jhonka jo aaya bujh gai sham-e-zamir
muft mein koThi mili motor mili pa mila
jab gaya picnic pe bahar tour ka Ta mila
jab hua mujh par mulamma baDh gai kuchh aab-o-tab
Dal li masrufiyat ki apne chehre par naqab
mujh se izzat-dar Darte hain main hun izzat-maab
in ki mi binam ba bedarist yarab ya ba KHwab
KHud bhi dil mein soch kar ye baat sharmata hun main
raste viran ho jate hain jab jata hun main
ab ye haalat hai ghiza achchhi hai kapDe bhi nafis
aur angrezi zaban bhi bol leta hun salis
mujh se milne ke liye aate hain mulkon ke rais
raat din lekin nazar mein mujh ko rakhti hai police
sab mujhe pahchante hain kis qadar pani mein hun
hun nigahban qaum ka aur KHud nigahbani mein hun
mujh se milne ko sharif insan aa sakte nahin
bar-e-gham yaran-e-derina uTha sakte nahin
dard-e-dil sunte nahin mujh ko suna sakte nahin
biwi aur bachche bhi khana sath kha sakte nahin
sun ke ye farzand se hoti hai hairani mujhe
likh diya min-jumla-e-asbab-e-virani mujhe
meri surat ko tarasta hai jo tifl-e-shir-KHar
ho chuke hain is ke abba mulk-o-millat par nisar
sab KHushamad-pesha, duniya-dar aur be-rozgar
raat din milne ko aate hain qatar-andar-qatar
jo bhi aae us se wada kuchh na kuchh karta hun main
sar par aa pahuncha election is liye Darta hun main
filen ghar mein paDi hain aur daftar mein hai ghar
shaghl-e-bekari bahut hai waqt behad muKHtasar
raat din sar par musallat lunch asrane dinner
aur hukumat KHarch agar de de to haj ka bhi safar
aaj-kal pesh-e-nazar hai mulk-o-millat ki falah
ek bhatije ki dukan ka bhi karunga iftitah
mulk ke andar jo aKHbaron ke hain nama-nigar
jin ko ba-izzat nahin milta hai koi rozgar
chae ki dawat pe ghar bulwa ke un ko bar bar
un se kahta hun ki likkho kuchh na kuchh hum par bhi yar
wo ye likh dete hain akasr achchhi baaten is ki hain
nind us ki hai dimagh us ka hai raaten us ki hain
mujh se milne aae bairuni mamalik se bashar
wo hain meri mamlikat se mujh se zyaada ba-KHabar
chahta hun main ki un se guftugu ho muKHtasar
wo ye kahte hain ki rakh do sare daftar khol kar
wo zamin ki puchhte hain aasman kahta hun main
jab samajh mein kuchh nahin aata to han kahta hun main
mulk ka gham hai na hum ko millat-e-baiza ka gham
barq se karte hain raushan sham-e-matam-KHana ham
garche jahil hun par itna jaanta hun kam se kam
sari duniya mein agar kuchh hai to insan ka shikam
ai shikam mere tan-e-fani ke sadr-e-anjuman
tu agar mera nahin banta na ban apna to ban
mere ek sale ki ek sasural ka ek rishta-dar
apni koshish se mulazim ho gaya tha ek bar
kyunki jo sab ka hai us ka bhi hai wo parwardigar
KHwesh-parwar hakimon mein ho gaya mera shumar
ab aziz aa jaen milne ko to ghabraata hun main
DhunDte phirte hain mujh ko ghar mein kho jata hun main
bargah-e-haq mein hazir ho ke main ne ki dua
peT se machhli ke yunus ko kiya tu ne riha
qaid se yusuf ko tu ne izn-e-azadi diya
is bhayanak KHwab se aazad kar mujh ko KHuda
main nikala jaunga be-dast-o-pa aur sar khula
jitne arsa mein mera lipTa hua bistar khula
- Book : Shokhi-e-Tahrir (Pg. 77)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Malik Norani, Maktaba Daniyal Viktoria Chaimber, 20, Abdullah Haroon Road, Sadar Krachi (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.