wazire chunin
to jab saat sau āThvīñ raat aa.ī
to kahne lagī shaharzād:
ai javāñ-baḳht
shīrāz meñ ek rahtā thā nā.ī;
vo naa.ī to thā hī
magar us ko baḳhshā thā qudrat ne
ik aur nādir girāñ-tar hunar bhī
ki jab bhī
kisī mard-e-dānā kā zehn-e-rasā
zañg-ālūda hone ko aatā
to naa.ī ko jā kar dikhātā
ki naa.ī dimāġhoñ kā mash.hūr māhir thā
vo kāsa-e-sar se un ko alag kar ke
in kī sab ālā.isheñ paak kar ke
phir apnī jagah par lagāne ke fan meñ thā kāmil
ḳhudā kā ye karnā huā
ek din
is kī dukāñ se
īrān kā ik vazīr-e-kuhan-sāl guzrā
aur is ne chāhā
ki vo bhī zarā
apne uljhe hue zehn kī
az sar-e-nau safā.ī karā le
kiyā kāsa-e-sar ko naa.ī ne ḳhālī
abhī vo use saaf karne lagā thā
ki nāgāh aa kar kahā ek ḳhvāja-sarā ne:
maiñ bhejā gayā huuñ janāb-e-vazārat-e-panah ko bulāne
aur is par
sarāsīma ho kar jo uTThā vazīr ek dam
rah gayā paas dallāk ke maġhz us kā
vo be-maġhz sar le ke darbār-e-sultāñ meñ pahuñchā
magar dūsre roz is ne
jo naa.ī se aa kar taqāzā kiyā
to vo kahne lagā:
haif
kal shab paḌosī kī billī
kisī rauzan-e-dar se ghus kar
janāb-e-vazārat-e-panah ke
dimāġh-e-falak-tāz ko khā ga.ī hai
aur ab hukm-e-sarkār ho to
kisī aur haivān kā maġhz le kar lagā duuñ
to dallāk ne rakh diyā
dāniyāl-e-zamāna ke sar meñ
kisī bail kā maġhz le kar
to logoñ ne dekhā
janāb-e-vazārat-e-panah ab
farāsat meñ
dānish meñ
aur kārobār-e-vazārat meñ
pahle se bhī chāq-o-chauband-tar ho ga.e haiñ
to jab sat sau aaThwin raat aai
to kahne lagi shaharzad:
ai jawan-baKHt
shiraaz mein ek rahta tha nai;
wo nai to tha hi
magar us ko baKHsha tha qudrat ne
ek aur nadir giran-tar hunar bhi
ki jab bhi
kisi mard-e-dana ka zehn-e-rasa
zang-aluda hone ko aata
to nai ko ja kar dikhata
ki nai dimaghon ka mashhur mahir tha
wo kasa-e-sar se un ko alag kar ke
in ki sab aalaishen pak kar ke
phir apni jagah par lagane ke fan mein tha kaamil
KHuda ka ye karna hua
ek din
is ki dukan se
iran ka ek wazir-e-kuhan-sal guzra
aur is ne chaha
ki wo bhi zara
apne uljhe hue zehn ki
az sar-e-nau safai kara le
kiya kasa-e-sar ko nai ne KHali
abhi wo use saf karne laga tha
ki nagah aa kar kaha ek KHwaja-sara ne:
main bheja gaya hun janab-e-wazarat-e-panah ko bulane
aur is par
sarasima ho kar jo uTTha wazir ek dam
rah gaya pas dallak ke maghz us ka
wo be-maghz sar le ke darbar-e-sultan mein pahuncha
magar dusre roz is ne
jo nai se aa kar taqaza kiya
to wo kahne laga:
haif
kal shab paDosi ki billi
kisi rauzan-e-dar se ghus kar
janab-e-wazarat-e-panah ke
dimagh-e-falak-taz ko kha gai hai
aur ab hukm-e-sarkar ho to
kisi aur haiwan ka maghz le kar laga dun
to dallak ne rakh diya
daniyal-e-zamana ke sar mein
kisi bail ka maghz le kar
to logon ne dekha
janab-e-wazarat-e-panah ab
farasat mein
danish mein
aur karobar-e-wazarat mein
pahle se bhi chaq-o-chauband-tar ho gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.