wed
faiz-e-qudrat se jo taqdīr khulī aalam kī
sāhil-e-hind pe vahdat kī tajallī chamkī
miT ga.ī jahl kī shab sub.h kā taara chamkā
āriya-vart kī qismat kā sitārā chamkā
ahl-e-dil par huī kaifiyyat-e-irfāñ taarī
jin se duniyā meñ huiiñ diin kī nahreñ jaarī
thiiñ khulī jalva-gah-e-ḳhās meñ rāheñ un kī
vāqif-e-rāz-e-haqīqat thiiñ nigāheñ un kī
arsh se un ke liye nūr-e-ḳhudā aayā thā
banda-e-ḳhās the rishiyoñ kā laqab paayā thā
ved un ke dil-e-haq-kesh kī tasvīreñ haiñ
jalva-e-qudrat-e-mābūd kī tafsīreñ haiñ
ain kasrat meñ ye vahdat kā sabaq ved meñ hai
ek hī nuur hai jo zarra o ḳhurshed meñ hai
jis se insān meñ hai josh-e-javānī paidā
isī jauhar se hai maujoñ meñ ravānī paidā
rang gulshan meñ fazā dāman-e-kohsār meñ hai
ḳhuuñ rag-e-gul meñ hai nashtar kī ḳhalish ḳhaar meñ hai
tamkanat husn meñ hai josh hai dīvāne meñ
raushnī sham.a meñ hai nuur hai parvāne meñ
rang-o-bū ho ke samāyā vahī gulzāroñ meñ
abr ban kar vahī barsā kiyā kohsāroñ meñ
shauq ho kar dil-e-majzūb pe chhāyā hai vahī
dard ban kar dil-e-shā.ir meñ samāyā hai vahī
nūr-e-īmāñ se jo paidā ho safā siine meñ
aks us kā nazar aatā hai is ā.īne meñ
faiz-e-qudrat se jo taqdir khuli aalam ki
sahil-e-hind pe wahdat ki tajalli chamki
miT gai jahl ki shab subh ka tara chamka
aariya-wart ki qismat ka sitara chamka
ahl-e-dil par hui kaifiyyat-e-irfan tari
jin se duniya mein huin din ki nahren jari
thin khuli jalwa-gah-e-KHas mein rahen un ki
waqif-e-raaz-e-haqiqat thin nigahen un ki
arsh se un ke liye nur-e-KHuda aaya tha
banda-e-KHas the rishiyon ka laqab paya tha
wed un ke dil-e-haq-kesh ki taswiren hain
jalwa-e-qudrat-e-mabud ki tafsiren hain
ain kasrat mein ye wahdat ka sabaq wed mein hai
ek hi nur hai jo zarra o KHurshed mein hai
jis se insan mein hai josh-e-jawani paida
isi jauhar se hai maujon mein rawani paida
rang gulshan mein faza daman-e-kohsar mein hai
KHun rag-e-gul mein hai nashtar ki KHalish KHar mein hai
tamkanat husn mein hai josh hai diwane mein
raushni shama mein hai nur hai parwane mein
rang-o-bu ho ke samaya wahi gulzaron mein
abr ban kar wahi barsa kiya kohsaron mein
shauq ho kar dil-e-majzub pe chhaya hai wahi
dard ban kar dil-e-shair mein samaya hai wahi
nur-e-iman se jo paida ho safa sine mein
aks us ka nazar aata hai is aaine mein
- Guldasta-e-Sukhan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.