wenus
pahnā ke zanjir-e-ābī banā taab kī
ab bhī jakḌe rakhā hai mujhe pāniyoñ ne
nafas merā paanī mirī ruuh paanī
mere aks kī lahar-dar-lahr sat.hoñ meñ sayyāl patvār khole haiñ dar aur darīchoñ kī tārīḳh ke
murta.ish murta.ish apnī phailī ragoñ kī farāvāniyoñ meñ
bahātā huuñ maiñ naġhma-zan kashtiyoñ ke charāġh
āsmānoñ kā ā.īna sar pe liye
phaḌ.phaḌāte kabūtar kī das laakh hairat bharī surḳh āñkhoñ meñ chakrā ke girte hue
sab kalīsā mahal aur qandaq ke sabz aur ālūda mehrāb o gumbad paanī
ayaañ mere siine kī sayyāl pahnā.iyoñ meñ
sehn-tā-sehn fāḳhtāoñ ke shahpar
tamaddun ke tevar
havā ke sutūñ-dar-sutūñ saare sayyāh paikar
ghule haiñ zamānoñ se paanī kī galiyoñ meñ tājir jahāzoñ ke zarḳhez phere
magar saarī ārā.ishoñ meñ samā kar
sarāboñ kī maujoñ ke ġhaibī thapeḌoñ ne pal pal nikhārā hai bosīda chehre ko mere
to apne hī nam aur ḳhvābīda sāyoñ se afsāne kahte hue ab
musalsal ravānī ke kāñdhoñ pe rahte hue ab
taġhayyur kā tūfāñ uThā.ūñ to kyā ho
tirī aañkh meñ Duub jā.ūñ to kyā ho
pahna ke zanjir-e-abi bana tab ki
ab bhi jakDe rakha hai mujhe paniyon ne
nafas mera pani meri ruh pani
mere aks ki lahar-dar-lahr sathon mein sayyal patwar khole hain dar aur darichon ki tariKH ke
murtaish murtaish apni phaili ragon ki farawaniyon mein
bahata hun main naghma-zan kashtiyon ke charagh
aasmanon ka aaina sar pe liye
phaDphaDate kabutar ki das lakh hairat bhari surKH aankhon mein chakra ke girte hue
sab kalisa mahal aur qandaq ke sabz aur aaluda mehrab o gumbad pani
ayan mere sine ki sayyal pahnaiyon mein
sehn-ta-sehn faKHtaon ke shahpar
tamaddun ke tewar
hawa ke sutun-dar-sutun sare sayyah paikar
ghule hain zamanon se pani ki galiyon mein tajir jahazon ke zarKHez phere
magar sari aaraishon mein sama kar
sarabon ki maujon ke ghaibi thapeDon ne pal pal nikhaara hai bosida chehre ko mere
to apne hi nam aur KHwabida sayon se afsane kahte hue ab
musalsal rawani ke kandhon pe rahte hue ab
taghayyur ka tufan uThaun to kya ho
teri aankh mein Dub jaun to kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.