widaa
mujhe pāniyoñ pe raqam karo
ki mirī bisāt ġhubār hai
jo nishāniyāñ haiñ mirī yahāñ
unheñ bahr-e-gard meñ zam karo
mire āñsuoñ mire qahqahoñ
ko ḳhayāl-o-ḳhvāb kā naam do
mirī qurbatoñ ke ghane shajar
ko ḳhizāñ kā koī payām do
ki nihāñ isī meñ farār hai
ki mirī bisāt ġhubār hai
mujhe paniyon pe raqam karo
ki meri bisat ghubar hai
jo nishaniyan hain meri yahan
unhen bahr-e-gard mein zam karo
mere aansuon mere qahqahon
ko KHayal-o-KHwab ka nam do
meri qurbaton ke ghane shajar
ko KHizan ka koi payam do
ki nihan isi mein farar hai
ki meri bisat ghubar hai
- Book : saughat (01) (rekhta website) (Pg. 349)
- Edition : 1991
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.