rā.egāñ vaqt ke vīrāne meñ
ki jahāñ dard hirāsāñ hai
bagūloñ kī tarah
muztarib fikr se zaḳhmī taa.ir
kab se haiñ ḳhāk-nashīñ
zard lamhāt ke malbe meñ dabe
jazba-o-ehsās ke kuchle hue jism
aur tā-hadd-e-nazar
kāvish-e-paiham ke khañDar
ki jahāñ yaas ke bhūtoñ ne
lagā rakkhā hai Derā apnā
kohna alfāz kī zanjīr meñ jakḌe hue
ma.anī ke badan
vahīñ dam toḌ rahe hoñge kahīñ
rā.egāñ rabt ke sannāTe meñ
raegan waqt ke virane mein
ki jahan dard hirasan hai
bagulon ki tarah
muztarib fikr se zaKHmi tair
kab se hain KHak-nashin
zard lamhat ke malbe mein dabe
jazba-o-ehsas ke kuchle hue jism
aur ta-hadd-e-nazar
kawish-e-paiham ke khanDar
ki jahan yas ke bhuton ne
laga rakkha hai Dera apna
kohna alfaz ki zanjir mein jakDe hue
mani ke badan
wahin dam toD rahe honge kahin
raegan rabt ke sannaTe mein
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 42)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.