apnī marzī se to maz.hab bhī nahīñ us ne chunā thā
us kā maz.hab thā jo maañ baap se hī us ne virāsat meñ liyā thā
apne maañ baap chune koī ye mumkin hī kahāñ hai?
us pe ye mulk bhī lāzim thā ki maañ baap kā ghar thā is meñ
ye vatan us kā chunāv to nahīñ thaa...
vo to kal nau hī baras kā thaa, use kyuuñ chun kar
firqā-vārāna fasādāt ne kal qatl kiyā...!
apni marzi se to mazhab bhi nahin us ne chuna tha
us ka mazhab tha jo man bap se hi us ne wirasat mein liya tha
apne man bap chune koi ye mumkin hi kahan hai?
us pe ye mulk bhi lazim tha ki man bap ka ghar tha is mein
ye watan us ka chunaw to nahin tha
wo to kal nau hi baras ka tha, use kyun chun kar
firqa-warana fasadat ne kal qatl kiya!
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 18)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.