wirsa
beTiyāñ bhī to maaoñ jaisī hotī haiñ
zabt ke zard āñchal meñ apne
saare dard chhupā letī haiñ
rote rote hans paḌtī haiñ
hañste hañste dil hī dil meñ ro letī haiñ
ḳhushī kī ḳhvāhish karte karte
ḳhvāb aur ḳhaak meñ aT jaatī haiñ
sau hissoñ meñ baT jaatī haiñ
ghar ke darvāze par baiThī
ummīdoñ ke resham bunte saarī umr gañvā
detī haiñ
maiñ jo ga.e dinoñ meñ
maañ kī ḳhush-fahmī pe hans detī thī
ab ḳhud bhī to
umr kī girtī dīvāroñ se Tek lagā.e
fasl ḳhushī kī botī huuñ
aur ḳhush-fahmī kaaT rahī huuñ
jaane kaisī rasm hai ye bhī
maañ kyoñ beTī ko virse meñ
apnā muqaddar de detī hai
beTiyan bhi to maon jaisi hoti hain
zabt ke zard aanchal mein apne
sare dard chhupa leti hain
rote rote hans paDti hain
hanste hanste dil hi dil mein ro leti hain
KHushi ki KHwahish karte karte
KHwab aur KHak mein aT jati hain
sau hisson mein baT jati hain
ghar ke darwaze par baiThi
ummidon ke resham bunte sari umr ganwa
deti hain
main jo gae dinon mein
man ki KHush-fahmi pe hans deti thi
ab KHud bhi to
umr ki girti diwaron se Tek lagae
fasl KHushi ki boti hun
aur KHush-fahmi kaT rahi hun
jaane kaisi rasm hai ye bhi
man kyon beTi ko wirse mein
apna muqaddar de deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.