wirsa
hamārī dāstānoñ meñ
tumhārī dāstāneñ
mil hī jaatī haiñ
hameñ sab yaad hai
vo ek ik manzar
jise in mausamoñ ne
rāgnī honā sikhāyā thā
jinheñ ham duur kī vaadī meñ
pīchhe chhoḌ aa.e the
magar ik aarzū ban kar
vahī vaadī vahī manzar
ta.āqub meñ hai
ḳhvāboñ meñ
mahakte raaz afshāñ haiñ
pighaltī barf ke andar
chanābeñ
TūTne kī muntazir haiñ
ab bhī sahrā meñ
havā.eñ gungunātī haiñ
vo pāvan raag maddham se
yahī punjab kī dhartī jahāñ
ik hiir aur rāñjhe kā vāris maiñ
tan-e-tanhā
faqat maiñ
hamari dastanon mein
tumhaari dastanen
mil hi jati hain
hamein sab yaad hai
wo ek ek manzar
jise in mausamon ne
ragni hona sikhaya tha
jinhen hum dur ki wadi mein
pichhe chhoD aae the
magar ek aarzu ban kar
wahi wadi wahi manzar
taaqub mein hai
KHwabon mein
mahakte raaz afshan hain
pighalti barf ke andar
chanaben
TuTne ki muntazir hain
ab bhi sahra mein
hawaen gungunati hain
wo pawan rag maddham se
yahi punjab ki dharti jahan
ek hir aur ranjhe ka waris main
tan-e-tanha
faqat main
- Book : Khwaab Palkon Mein (Pg. 132)
- Author : Vishal Khullar
- Publication : Insha Publications (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.