visal-e-mausam
visāl-e-mausam
tumhāre abrū ke ik ishāre kā muntazir hai
nazar uThāo
aur apne raste pe khilne vaale gulāb dekho
samā.atoñ se kaho ḳhamoshī
nigāh aur ā.īne ke mābain
suḳhan kā āġhāz kar rahī hai
havā se pūchho
vo kis badan kī mahak se paiham ulajh rahī hai
suno ye mausam visāl kā hai
so us ko yuuñ rā.egāñ na jaano
agar tum izn-e-safar na doge
to phir ye mausam
gulāb rut meñ bhī zard pattoñ kā bhes badle
tumhāre āñgan se jā malegā
aur ā.inoñ se gila karegā
visal-e-mausam
tumhaare abru ke ek ishaare ka muntazir hai
nazar uThao
aur apne raste pe khilne wale gulab dekho
samaaton se kaho KHamoshi
nigah aur aaine ke mabain
suKHan ka aaghaz kar rahi hai
hawa se puchho
wo kis badan ki mahak se paiham ulajh rahi hai
suno ye mausam visal ka hai
so us ko yun raegan na jaano
agar tum izn-e-safar na doge
to phir ye mausam
gulab rut mein bhi zard patton ka bhes badle
tumhaare aangan se ja malega
aur aainon se gila karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.