visal
dhanak TuuT kar sej banī
jhūmar chamkā
sannāTe chauñke
aadhī raat kī aañkh khulī
birah kī aañch kī niilī lau
nai bantī hai
lai bantī hai
shahnā.ī jaltī rotī thī
ab sar nivḌhā.e
laal papoTe band kiye baiThī hai
narm garm hāthoñ kī mehñdī
ek nayā sañgīt sunātī
dil ke kivāḌ pe ruk kar koī rātoñ meñ dastak detā thā
dil ke kivāḌ pe ruk kar vo dastak detā hai
paT khulte haiñ
aañkh se aañkh diloñ se
dil milte haiñ
ghūñghaT meñ jhūmar chhuptā hai
ghūñghaT meñ mukhḌe chhupte haiñ
daulat-ḳhāñ kī devḌhī ke khañDaroñ meñ
buDDhā naag khaḌā rotā hai
gūñge sannāTe bol uThe
ghūñghaT mukhḌe jhūmar paa.el
chamak-damak jhankār amar hai
pyaar amar hai
pyaar amar hai
pyaar kī raat kī aañkh umaD aatī hai
aur do phuul
tannūr-e-badan
shabnam pī kar so jaate haiñ
dhanak TuT kar sej bani
jhumar chamka
sannaTe chaunke
aadhi raat ki aankh khuli
birah ki aanch ki nili lau
nai banti hai
lai banti hai
shahnai jalti roti thi
ab sar niwDhae
lal papoTe band kiye baiThi hai
narm garm hathon ki mehndi
ek naya sangit sunati
dil ke kiwaD pe ruk kar koi raaton mein dastak deta tha
dil ke kiwaD pe ruk kar wo dastak deta hai
paT khulte hain
aankh se aankh dilon se
dil milte hain
ghunghaT mein jhumar chhupta hai
ghunghaT mein mukhDe chhupte hain
daulat-KHan ki dewDhi ke khanDaron mein
buDDha nag khaDa rota hai
gunge sannaTe bol uThe
ghunghaT mukhDe jhumar pael
chamak-damak jhankar amar hai
pyar amar hai
pyar amar hai
pyar ki raat ki aankh umaD aati hai
aur do phul
tannur-e-badan
shabnam pi kar so jate hain
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.