visal
maiñ ne kal shab
āsmāñ ko girte dekhā
aur sochā
ab zamīñ aur āsmāñ shāyad mileñge
raat guzrī
aur shafaq phūlī to maiñ ne
chaḌhte sūraj kī kalā.ī
thaam kar us se kahā
bhaa.ī ruko
tum do qadam aage baḌhe to
āsmāñ shāyad giregā
ḳhashmagīñ nazroñ se mujh ko
dekh kar sūraj ne āñkheñ
pher liiñ dhīre se bolā
āsmāñ har raat girtā hai
magar donoñ kabhī milte nahīñ haiñ!
main ne kal shab
aasman ko girte dekha
aur socha
ab zamin aur aasman shayad milenge
raat guzri
aur shafaq phuli to main ne
chaDhte suraj ki kalai
tham kar us se kaha
bhai ruko
tum do qadam aage baDhe to
aasman shayad girega
KHashmagin nazron se mujh ko
dekh kar suraj ne aankhen
pher lin dhire se bola
aasman har raat girta hai
magar donon kabhi milte nahin hain!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.