visal
terī qurbat kī lazzat-e-shīrīñ
jism-o-jāñ meñ utartī jaatī hai
chāñd uupar hai niile ambar meñ
jhiil nīche hai aur ham donoñ
aa mire paas aa yahāñ shab-bhar
apne jismoñ kī vādī-e-nau meñ
sabz peḌoñ khanakte jharnoñ kī
naġhmagī latīf ko DhūñDeñ
apnī rūheñ kasāfat-e-ġham se
tair uTheñgī taaza zinda
do kañval ke hasīn phūloñ ke
ruup meñ Dhal ke muskurā.eñgī
aur pariyāñ hameñ sulā.eñ gī
āsmāñ se zamīn tak hastī
ḳhvāb hai aur ḳhvāb-e-āvāra
jhoñke aate haiñ narm aur taaza
donoñ jismoñ meñ rāzdārī hai
donoñ rūhoñ pe vajd taarī hai
teri qurbat ki lazzat-e-shirin
jism-o-jaan mein utarti jati hai
chand upar hai nile ambar mein
jhil niche hai aur hum donon
aa mere pas aa yahan shab-bhar
apne jismon ki wadi-e-nau mein
sabz peDon khanakte jharnon ki
naghmagi latif ko DhunDen
apni ruhen kasafat-e-gham se
tair uThengi taza zinda
do kanwal ke hasin phulon ke
rup mein Dhal ke muskuraengi
aur pariyan hamein sulaen gi
aasman se zamin tak hasti
KHwab hai aur KHwab-e-awara
jhonke aate hain narm aur taza
donon jismon mein raazdari hai
donon ruhon pe wajd tari hai
- Book : Lambi Barish (Pg. 43)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.