wo aur main
hayāt
ek hairat se phailī huī aañkh hai
jis kī palkoñ ko bāham mile
muddateñ ho chukī haiñ
qarnoñ se yūñhī
musalsal ḳhalāoñ meñ taktī chalī jā rahī hai
manāzir nigaltī chalī jā rahī hai
kahīñ duur hairat se phailī huī aañkh ke paar
chehra hai
be-ḳhāl be-chashm be-ant chehra
chehre ke ma.asūm marmar se ruḳhsār par
jagmagātā huā ashk maiñ huuñ
hairat se phailī huī aañkh ke chaak ko
maiñ rafū kar rahā huuñ
hayat
ek hairat se phaili hui aankh hai
jis ki palkon ko baham mile
muddaten ho chuki hain
qarnon se yunhi
musalsal KHalaon mein takti chali ja rahi hai
manazir nigalti chali ja rahi hai
kahin dur hairat se phaili hui aankh ke par
chehra hai
be-KHal be-chashm be-ant chehra
chehre ke masum marmar se ruKHsar par
jagmagata hua ashk main hun
hairat se phaili hui aankh ke chaak ko
main rafu kar raha hun
- Book : Pakistani Adab (Pg. 173)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.