wo bagh mein mera muntazir tha
vo baaġh meñ merā muntazir thā
aur chāñd tulūa ho rahā thā
zulf-e-shab-e-vasl khul rahī thī
ḳhushbū sāñsoñ meñ ghul rahī thī
aa.ī thī maiñ apne pī se milne
jaise koī gul havā se khilne
ik umr ke ba.ad maiñ hañsī thī
ḳhud par kitnī tavajjoh dī thii!
pahnā gahrā basantī joḌā
aur itr-e-suhāg meñ basāyā
ā.īne meñ ḳhud ko phir ka.ī baar
us kī nazroñ se maiñ ne dekhā
sandal se chamak rahā thā māthā
chandan se badan mahak rahā thā
hoñToñ pe bahut sharīr laalī
gāloñ pe gulāl kheltā thā
bāloñ meñ piro.e itne motī
tāroñ kā gumān ho rahā thā
afshāñ kī lakīr maañg meñ thī
kājal āñkhoñ meñ hañs rahā thā
kānoñ meñ machal rahī thī baalī
bāñhoñ se lipaT rahā thā gajrā
aur saare badan se phūTtā thā
us ke liye giit jo likhā thaa!
hāthoñ meñ liye diye kī thālī
us ke qadmoñ meñ jā ke baiThī
aa.ī thī ki aartī utārūñ
saare jīvan ko daan kar duuñ!
dekhā mire devtā ne mujh ko
ba.ad is ke zarā sā muskurāyā
phir mere sunahre thaal par haath
rakkhā bhī to ik diyā uThāyā
aur merī tamām zindagī se
māñgī bhī to ek shaam māñgī
wo bagh mein mera muntazir tha
aur chand tulua ho raha tha
zulf-e-shab-e-wasl khul rahi thi
KHushbu sanson mein ghul rahi thi
aai thi main apne pi se milne
jaise koi gul hawa se khilne
ek umr ke baad main hansi thi
KHud par kitni tawajjoh di thi!
pahna gahra basanti joDa
aur itr-e-suhag mein basaya
aaine mein KHud ko phir kai bar
us ki nazron se main ne dekha
sandal se chamak raha tha matha
chandan se badan mahak raha tha
honTon pe bahut sharir lali
galon pe gulal khelta tha
baalon mein piroe itne moti
taron ka guman ho raha tha
afshan ki lakir mang mein thi
kajal aankhon mein hans raha tha
kanon mein machal rahi thi baali
banhon se lipaT raha tha gajra
aur sare badan se phuTta tha
us ke liye git jo likha tha!
hathon mein liye diye ki thaali
us ke qadmon mein ja ke baiThi
aai thi ki aarti utarun
sare jiwan ko dan kar dun!
dekha mere dewta ne mujh ko
baad is ke zara sa muskuraya
phir mere sunahre thaal par hath
rakkha bhi to ek diya uThaya
aur meri tamam zindagi se
mangi bhi to ek sham mangi
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(inkaar) (Pg. 125)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.