wo baat
vo baat agar maiñ ḳhudā se kahtā
maiñ jāntā huuñ vo sun bhī letā
(javāb dene kī koī mī.ād tai nahīñ ho
to sirf sunñe meñ harj kyā hai)
maiñ māntā huuñ
javāb vo ek roz detā
pa ḳhvāhishoñ ne mirī samā.at ko mo'tabar hī kahāñ hai rakkhā
ye ḳhvāhisheñ haiñ ki mere kānoñ meñ ruuī sā kuchh nihāñ hai rakhā
maiñ sochtā huuñ
vo baat agar maiñ ḳhudā se kahtā
to maslahat kā shikār hotī
fuzūl be-e'tibār hotī
maiñ maslahat kā nahīñ muḳhālif
pa jāntā huuñ kisī bhī shai ke
har ek pahlū pe ġhaur hogā
to maslahat kā shikār hogī
talāsh-e-har-e'tibār be-e'tibār hogī
maiñ chāhtā huuñ
ki mashvara bhī karūñ kisī se
pe aql-e-insān
(aql-e-nsaqis)
har ek pahlū pe ġhaur
ḳhud ek maz.haka hai
yahāñ se aage jo marhala hai
vo fahm-e-insāñ se māvarā hai
ḳhayāl aatā hai akasr akasr
ḳhalīfatul-arz huuñ
isī sat.h par jo suljhā.ūñ baat ko maiñ
magar ḳhilāfat ko kyā vilāyat milī huī hai
mazīd ye kyā avaam o ashrāf kī himāyat milī huī hai
agar nahīñ to ye juzv-e-afkār kis liye hai
ye fikr-e-be-kār kis liye hai
vo baat yuuñ aham hai
ki mere vajūd meñ rūnumā huī hai
vajūd kī ik binā huī hai
vo baat mujh se judā nahīñ hai
vo baat sach hai vo mahz ik marhala nahīñ hai
vo baat maiñ huuñ
maiñ ḳhud ko zaa.e nahīñ karūñgā
wo baat agar main KHuda se kahta
main jaanta hun wo sun bhi leta
(jawab dene ki koi miad tai nahin ho
to sirf sunne mein harj kya hai)
main manta hun
jawab wo ek roz deta
pa KHwahishon ne meri samaat ko mo'tabar hi kahan hai rakkha
ye KHwahishen hain ki mere kanon mein rui sa kuchh nihan hai rakha
main sochta hun
wo baat agar main KHuda se kahta
to maslahat ka shikar hoti
fuzul be-e'tibar hoti
main maslahat ka nahin muKHalif
pa jaanta hun kisi bhi shai ke
har ek pahlu pe ghaur hoga
to maslahat ka shikar hogi
talash-e-har-e'tibar be-e'tibar hogi
main chahta hun
ki mashwara bhi karun kisi se
pe aql-e-insan
(aql-e-nsaqis)
har ek pahlu pe ghaur
KHud ek mazhaka hai
yahan se aage jo marhala hai
wo fahm-e-insan se mawara hai
KHayal aata hai akasr akasr
KHalifatul-arz hun
isi sath par jo suljhaun baat ko main
magar KHilafat ko kya wilayat mili hui hai
mazid ye kya awam o ashraf ki himayat mili hui hai
agar nahin to ye juzw-e-afkar kis liye hai
ye fikr-e-be-kar kis liye hai
wo baat yun aham hai
ki mere wajud mein runuma hui hai
wajud ki ek bina hui hai
wo baat mujh se juda nahin hai
wo baat sach hai wo mahz ek marhala nahin hai
wo baat main hun
main KHud ko zae nahin karunga
- Book : Na Mau'ud (Pg. 28)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.