wo be-jaan shajar
aaj savere āftāb aane ke baad
mujhe mere kal ke pahne panT kī jeb par
ik ḳhuun se lat-pat rūmāl milā
saath milī kuchh sūkhī huī nazmeñ
jo kal shab maiñ ne likhī thī
in sūkhī nazmoñ ko takiye tale rakh kar
maiñ ne kal kā vāqi.a yaad kiyā
kuchh dhu.dlī sī thī is vāqiye kī tasvīr mere zehn par
yā yuuñ kahūñ maiñ is vāqiye ko saaf dekhnā nahīñ chāhtā thā
kal shab maiñ ne is taaza laash ko haath jo lagāyā thā
kal shab us laash ke ḳhuun kā surḳh qatra mire rūmāl par jo lagā thā
kal shab kuchh raqīboñ ne us kā qatl jo kiyā thā
kal shab vo behad aziim shāndār shajar mirā thā
kal talak jo detā thā apnī chhāñv kā shāmiyāna
aaj vo paḌā thā lā-vāris sā vo be-jān shajar
aaj sawere aaftab aane ke baad
mujhe mere kal ke pahne panT ki jeb par
ek KHun se lat-pat rumal mila
sath mili kuchh sukhi hui nazmen
jo kal shab main ne likhi thi
in sukhi nazmon ko takiye tale rakh kar
main ne kal ka waqia yaad kiya
kuchh dhudli si thi is waqiye ki taswir mere zehn par
ya yun kahun main is waqiye ko saf dekhna nahin chahta tha
kal shab main ne is taza lash ko hath jo lagaya tha
kal shab us lash ke KHun ka surKH qatra mere rumal par jo laga tha
kal shab kuchh raqibon ne us ka qatl jo kiya tha
kal shab wo behad azim shandar shajar mera tha
kal talak jo deta tha apni chhanw ka shamiyana
aaj wo paDa tha la-waris sa wo be-jaan shajar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.