wo bhi ghalat
guDDū kā bhī haal sunā.eñ
duudh piyeñ na anDe khā.eñ
phal tarkārī ek na bhaa.e
ġhusse meñ bas hoñT chabā.eñ
dekh ke dastarḳhvān pe machhlī
paañv paTaḳhte bhāge jaa.eñ
chāval roTī gosht kī boTī
dekheñ to naḳhre dikhlā.eñ
din kā ho yā raat kā khānā
ro.eñ pīTeñ shor machā.eñ
duble patle rūkhe sūkhe
baat karo to laḌne aa.eñ
itne halke phulke se haiñ
fan chale to uḌ hī jaa.eñ
guDDu ka bhi haal sunaen
dudh piyen na anDe khaen
phal tarkari ek na bhae
ghusse mein bas honT chabaen
dekh ke dastarKHwan pe machhli
panw paTaKHte bhage jaen
chawal roTi gosht ki boTi
dekhen to naKHre dikhlaen
din ka ho ya raat ka khana
roen piTen shor machaen
duble patle rukhe sukhe
baat karo to laDne aaen
itne halke phulke se hain
fan chale to uD hi jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.