wo bolti kuchh bhi nahin
hañstī muskurātī hai
na ab khilkhilātī hai
vo ghar se bāhar jaate hue
Dar Dar sī jaatī hai
ḳhud ko pardoñ meñ chhupātī hai
vo boltī kuchh bhī nahīñ
sunā hai
kisī aalī gharāne ke
kisī achchhe ohde ke
laḌke ne
use masal Daalā thā
insāf kī adālat meñ
kuchh noToñ ke badle meñ
insāf kuchal Daalā thā
us ke majbūr baabā ne
baaqī beTiyoñ kī ḳhātir
mujrim muaaf kar diyā thā
tab hī se
vo boltī kuchh bhī nahīñ
bas aañsū bahātī hai
hansti muskuraati hai
na ab khilkhilati hai
wo ghar se bahar jate hue
Dar Dar si jati hai
KHud ko pardon mein chhupati hai
wo bolti kuchh bhi nahin
suna hai
kisi aali gharane ke
kisi achchhe ohde ke
laDke ne
use masal Dala tha
insaf ki adalat mein
kuchh noTon ke badle mein
insaf kuchal Dala tha
us ke majbur baba ne
baqi beTiyon ki KHatir
mujrim muaf kar diya tha
tab hi se
wo bolti kuchh bhi nahin
bas aansu bahati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.