wo chand-chehra si ek laDki
vo chāñd-chehra sī ek laḌkī
mohabbatoñ kī misāl jaise
zehn meñ shā.er ke jaise aa.e
hasīñ ġhazal kā ḳhayāl koī
vo chāñd-chehra sī ek laḌkī
kisī janm meñ vo maañ thī merī
kisī janm meñ bahan banī thī
magar vo ab ke banī hai hamdam
tamām rishte nibhā rahī hai
mujhe bhī jiinā sikhā rahī hai
vo chāñd-chehra sī ek laḌkī
wo chand-chehra si ek laDki
mohabbaton ki misal jaise
zehn mein shaer ke jaise aae
hasin ghazal ka KHayal koi
wo chand-chehra si ek laDki
kisi janm mein wo man thi meri
kisi janm mein bahan bani thi
magar wo ab ke bani hai hamdam
tamam rishte nibha rahi hai
mujhe bhi jina sikha rahi hai
wo chand-chehra si ek laDki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.