wo ek insan
vo ek insān manhanī sā
thā jo ba-zāhir
za.īf-o-lāġhar
badan ko khādī kī ek dhotī meñ vo chhupā.e
chhaḌī uThā.e
aur apnī ainak ke taar kānoñ meñ thā phañsā.e
baḌā hī chust aur mehnatī thā
bahut bahādur vo aadmī thā
vo ek insān manhanī sā
bahut bhalā thā
paḌhā likhā thā
huqūq insāñ ke jāntā thā
samān sab ko vo māntā thā
na muflisī aur māl-dārī kī us ko tafrīq thī gavārā
ḳhilāf vo farq-e-nasl-o-rañg ke
ka.ī baras tak rahā saf-ārā
vo apne hāthoñ meñ
sach ahinsā yaqīn azm-o-amal ke hathiyār le ke niklā
safed-fāmoñ se jañg karne
zamīn-e-hind un pe tañg karne
firañgiyoñ kā raqīb thā vo
ajiib thā vo
vo ek insān manhanī sā
dukhī diloñ kā thā jo sahārā
thā ahal-e-hindostāñ ko pyārā
vo shāntī kā payāmbar thā
vo saare bhārat kā rāhbar thā
wo ek insan manhani sa
tha jo ba-zahir
zaif-o-laghar
badan ko khadi ki ek dhoti mein wo chhupae
chhaDi uThae
aur apni ainak ke tar kanon mein tha phansae
baDa hi chust aur mehnati tha
bahut bahadur wo aadmi tha
wo ek insan manhani sa
bahut bhala tha
paDha likha tha
huquq insan ke jaanta tha
saman sab ko wo manta tha
na muflisi aur mal-dari ki us ko tafriq thi gawara
KHilaf wo farq-e-nasl-o-rang ke
kai baras tak raha saf-ara
wo apne hathon mein
sach ahinsa yaqin azm-o-amal ke hathiyar le ke nikla
safed-famon se jang karne
zamin-e-hind un pe tang karne
firangiyon ka raqib tha wo
ajib tha wo
wo ek insan manhani sa
dukhi dilon ka tha jo sahaara
tha ahal-e-hindostan ko pyara
wo shanti ka payambar tha
wo sare bhaarat ka rahbar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.