wo hamara ghar
haath meñ tābūt thāme un dinoñ ke
jin dinoñ us lālTenoñ kī galī meñ
ham ne mil kar
apne mustaqbil ke is ghar ko sajāyā
lālTenoñ kī galī kā āḳhirī ghar
terā merā ghar
dhuup meñ sahmā khaḌā hai
jis kī chhat par
makḌiyoñ ke jaal meñ uljhe se
ḳhvāb apne
muntashir haiñ
ghar kī dīvāroñ se uljhī
chīñTiyoñ kī mātamī sī kuchh qatāreñ reñgtī haiñ
ḳhasta shahtīroñ meñ dab kar
ik gaurayyā kā ghar
bikhrā paḌā hai
hath mein tabut thame un dinon ke
jin dinon us lalTenon ki gali mein
hum ne mil kar
apne mustaqbil ke is ghar ko sajaya
lalTenon ki gali ka aaKHiri ghar
tera mera ghar
dhup mein sahma khaDa hai
jis ki chhat par
makDiyon ke jal mein uljhe se
KHwab apne
muntashir hain
ghar ki diwaron se uljhi
chinTiyon ki matami si kuchh qataren rengti hain
KHasta shahtiron mein dab kar
ek gaurayya ka ghar
bikhra paDa hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 556)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.