wo harf-e-tanha
Interesting Fact
(Jise Tamanna-e-Vasl-e-Maana)
hamāre a.azā jo āsmāñ kī taraf duā ke liye uThe haiñ
(tum āsmāñ kī taraf na dekho!)
maqām-e-nāzuk pe zarb-e-kārī se jaañ bachāne kā hai vasīla
ki apnī mahrūmiyoñ se chhupne kā ek hīla?
buzurg-o-bartar ḳhudā kabhī to (bahisht-e-bar-haq)
hameñ ḳhudā se najāt degā
ki ham haiñ is sarzamīñ pe jaise vo harf-e-tanhā
(magar vo aisā jahāñ na hogā) ḳhamosh o goyā
jo ārzū-e-visāl-e-ma.anī meñ jī rahā ho
jo harf-e-ma.anī kī yak-dilī ko taras gayā ho
hameñ muarrā ke ḳhvāb de do
(ki sab ko baḳhsheñ ba-qadr-e-zauq-e-nigah tabassum)
hameñ muarrā kī ruuh kā iztirāb de do
(jahāñ gunāhoñ ke hausle se mile taqaddus ke dukh kā marham)
ki us kī be-nūr-o-tār āñhkeñ
darūn-e-ādam kī tiira rātoñ
ko chhedtī thiiñ
usī jahāñ meñ firāq-e-jāñ-kāh-e-harf-o-ma.anī
ko dekhtī thiiñ
bahisht us ke liye vo ma.asūm sāda-lauhoñ kī āfiyat thā
jahāñ vo nañge badan pe jābir ke tāziyānoñ se bach ke
rāh-e-farār paa.eñ
vo kafsh-e-pā thā ki jis se ġhurbat kī reg-e-baryāñ
se roz-e-fursat qarār paa.eñ
ki sulb-e-ādam kī rahm-e-havvā kī uzlatoñ meñ
nihāyat-e-intizār pā.eñ!
(bahisht sifr-e-āzīm lekin hameñ vo gum-gashta hindse haiñ
baġhair jin ke koī musāvāt kyā banegī
visāl-e-ma.anī se harf kī baat kyā banegī?)
ham is zamīñ par azal se pīrāna-sar haiñ maanā
magar abhī tak haiñ dil tavānā
aur apnī zūlida-kāriyoñ ke tufail daanā
hameñ muarrā ke ḳhvāb de do
(bahisht meñ bhī nashāt yak-rañg ho to ġham hai
ho ek sā jām-e-shahd sab ke liye to sam hai)
ki ham abhī tak haiñ is jahāñ meñ vo harf-e-tanhā
(bahisht rakh lo hameñ ḳhud apnā javāb de do!)
jise tamannā-e-vasl-e-m.anā
hamare aaza jo aasman ki taraf dua ke liye uThe hain
(tum aasman ki taraf na dekho!)
maqam-e-nazuk pe zarb-e-kari se jaan bachane ka hai wasila
ki apni mahrumiyon se chhupne ka ek hila?
buzurg-o-bartar KHuda kabhi to (bahisht-e-bar-haq)
hamein KHuda se najat dega
ki hum hain is sarzamin pe jaise wo harf-e-tanha
(magar wo aisa jahan na hoga) KHamosh o goya
jo aarzu-e-visal-e-mani mein ji raha ho
jo harf-e-mani ki yak-dili ko taras gaya ho
hamein muarra ke KHwab de do
(ki sab ko baKHshen ba-qadr-e-zauq-e-nigah tabassum)
hamein muarra ki ruh ka iztirab de do
(jahan gunahon ke hausle se mile taqaddus ke dukh ka marham)
ki us ki be-nur-o-tar aanhken
darun-e-adam ki tera raaton
ko chhedti thin
usi jahan mein firaq-e-jaan-kah-e-harf-o-mani
ko dekhti thin
bahisht us ke liye wo masum sada-lauhon ki aafiyat tha
jahan wo nange badan pe jabir ke taziyanon se bach ke
rah-e-farar paen
wo kafsh-e-pa tha ki jis se ghurbat ki reg-e-baryan
se roz-e-fursat qarar paen
ki sulb-e-adam ki rahm-e-hawwa ki uzlaton mein
nihayat-e-intizar paen!
(bahisht sifr-e-azim lekin hamein wo gum-gashta hindse hain
baghair jin ke koi musawat kya banegi
visal-e-mani se harf ki baat kya banegi?)
hum is zamin par azal se pirana-sar hain mana
magar abhi tak hain dil tawana
aur apni zulida-kariyon ke tufail dana
hamein muarra ke KHwab de do
(bahisht mein bhi nashat yak-rang ho to gham hai
ho ek sa jam-e-shahd sab ke liye to sam hai)
ki hum abhi tak hain is jahan mein wo harf-e-tanha
(bahisht rakh lo hamein KHud apna jawab de do!)
jise tamanna-e-wasl-e-mana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.