wo harf-o-saut-o-sada
vo harf jo fazā-e-nīlgūñ kī vus.atoñ meñ qaid thā
vo saut jo hisār-e-ḳhāmushī meñ jalva-rez thī
sadā jo kohsār kī bulandiyoñ pe mahv-e-ḳhvāb thī
ridā-e-barf se Dhakī
vo lafz jo fazā ke niile āñchaloñ se chhan ke
jazb ho rahā thā
reg-zār-e-vaqt meñ
jo zarra zarra muntashir thā
dhundlī dhundlī sā.atoñ kī gard meñ
vo ma.anī-e-gurez-pā
laraz rahā thā jo rag-e-hayāt meñ
vo ramz-e-muntazir ki jo abhī nihāñ thā
batn-e-kā.enāt meñ
vo harf-o-saut-o-sadā
vo lafz-e-muntashir
vo ramz-e-muntashir
vo ma.anī-e-gurez-pā
bas ek jast meñ
hisār-e-ḳhāmushī ko toḌ kar
pighal ke mere dard-o-ārzū kī aañch meñ
navā-o-nutq kī sabāhatoñ meñ Dhal gayā
vo ābshār-e-naġhma-o-navā
ki kohsār-e-sard se girā
ki gūñjtī guphāoñ se ubal paḌā
vo jū-e-zāt
naġhma-e-hayāt
jo ravāñ-davāñ hai bahr-e-be-karāñ kī khoj meñ
wo harf jo faza-e-nilgun ki wusaton mein qaid tha
wo saut jo hisar-e-KHamushi mein jalwa-rez thi
sada jo kohsar ki bulandiyon pe mahw-e-KHwab thi
rida-e-barf se Dhaki
wo lafz jo faza ke nile aanchalon se chhan ke
jazb ho raha tha
reg-zar-e-waqt mein
jo zarra zarra muntashir tha
dhundli dhundli saaton ki gard mein
wo mani-e-gurez-pa
laraz raha tha jo rag-e-hayat mein
wo ramz-e-muntazir ki jo abhi nihan tha
batn-e-kaenat mein
wo harf-o-saut-o-sada
wo lafz-e-muntashir
wo ramz-e-muntashir
wo mani-e-gurez-pa
bas ek jast mein
hisar-e-KHamushi ko toD kar
pighal ke mere dard-o-arzu ki aanch mein
nawa-o-nutq ki sabahaton mein Dhal gaya
wo aabshaar-e-naghma-o-nawa
ki kohsar-e-sard se gira
ki gunjti guphaon se ubal paDa
wo ju-e-zat
naghma-e-hayat
jo rawan-dawan hai bahr-e-be-karan ki khoj mein
- Book : aazaadii ke baad urdu nazm (Pg. 495)
- Author : shamiim hanfii
- Publication : national council for promotion of urdu language (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.