wo ek lamha
biit ga.e haiñ kitne din
jab tum ne ye mujh se kahā thā
tum mujh ko achchhī lagtī ho
aur mere hāthoñ par tum ne
ek vo lamha chhoḌ diyā thā
vo lamha jo an-dekhī zanjīr kī sūrat
ruuh se lipTā dil meñ utrā
ḳhuun meñ tair gayā
aaj usī lamhe ko thāme
khaḌī huī huuñ sīḌhī par
bit gae hain kitne din
jab tum ne ye mujh se kaha tha
tum mujh ko achchhi lagti ho
aur mere hathon par tum ne
ek wo lamha chhoD diya tha
wo lamha jo an-dekhi zanjir ki surat
ruh se lipTa dil mein utra
KHun mein tair gaya
aaj usi lamhe ko thame
khaDi hui hun siDhi par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.