wo ek sitara
Interesting Fact
(On the centenary celebration of Netaji Subhash Chandra Bose)
vo ik sitāra
jo āsmāñ kī bulandiyoñ se utrā
ġhulām hindostāñ kī
muhīb tārīkiyoñ meñ chamkā
jis ne sākit fazāoñ ko irti.āsh baḳhshā
shu.ūr ko
bedāriyāñ atā kiiñ
aur
zamīr ko jhiñjhoḌā
be-fikr zehnoñ ko
fikr kī harārat se joḌā
diloñ meñ sham-e-āzādī-e-vatan jalā.ī
ki jis se
diloñ ke siyāh-ḳhāne munavvar hue
vo jāntā thā
ki
aahan aahan ko kāñTtā hai
vo askarī tāqatoñ se
jābir askariyyat ke istihkām ko
pāra-pāra kar ke
vatan ko āzād karne kā
ḳhvāb buntā rahā
vo azm aur hausle kī qindīl
apnī salīb-e-jāñ par
jalā ke
raushnī aur tamāzateñ bāñTtā rahā
vo jāntā thā
apne safar kī
ibtidā aur intihā kā hāsil
vo zehn kī
vus.atoñ meñ
is ummīd ke saath
azā.em ke biij botā rahā
ki
aane vaalī nasl
us fasl ko
kāmyābī aur kāmrānī se kaaT sake
wo ek sitara
jo aasman ki bulandiyon se utra
ghulam hindostan ki
muhib tarikiyon mein chamka
jis ne sakit fazaon ko irtiash baKHsha
shuur ko
bedariyan ata kin
aur
zamir ko jhinjhoDa
be-fikr zehnon ko
fikr ki hararat se joDa
dilon mein sham-e-azadi-e-watan jalai
ki jis se
dilon ke siyah-KHane munawwar hue
wo jaanta tha
ki
aahan aahan ko kanTta hai
wo askari taqaton se
jabir askariyyat ke istihkaam ko
para-para kar ke
watan ko aazad karne ka
KHwab bunta raha
wo azm aur hausle ki qindil
apni salib-e-jaan par
jala ke
raushni aur tamazaten banTta raha
wo jaanta tha
apne safar ki
ibtida aur intiha ka hasil
wo zehn ki
wusaton mein
is ummid ke sath
azaem ke bij bota raha
ki
aane wali nasl
us fasl ko
kaamyabi aur kaamrani se kaT sake
- Book : Shahre be Chiragh Mein (Pg. 120)
- Author : Saeed Arifi
- Publication : Pahchan Publications (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.