wo ishq jo hum ko lahiq tha
vo ishq jo ham ko lāhiq thā
shab-hā-e-siyah ke dāman meñ
asrār junūñ ke khol gayā
bahr-e-maujūd ke markaz se
ik mauj-e-talātum-ḳhez uTThī
ik dard kī lahar uThī dil ke rauzan se
jis meñ simaT ga.e
donoñ aalam ke ranj o tarab
aur hast-o-būd ke mahvar par
ranj o rāhat ham-raqs hue
furqat ke tanhā lamhoñ meñ
ābād thī ik duniyā-e-fusūñ
raftār-e-ġham kī mauj-e-ravāñ
āvāra bagūle yādoñ ke
bārish kī maddham būñdoñ ke
sargam kī farāvāñ mausīqī
ashjār kī raqsāñ shāḳhoñ se
chhantā huā fitrat kā jaadū
duniyā-e-nashāt-o-dard kī lai
andoh o alam kā ik aalam
taḳhlīq ke larzāñ siine ke asrār-e-nihāñ
naġhma-bar-lab ye arz o samā
nauha dard-e-dil bātin kī fazā
taḳhlīq jahāñ ke sar nihāñ
patte patte kī rañgat meñ
harf kin kā jaadū larzāñ
sab ik vahdat meñ jazb hue
ik vajd āgīñ ehsās meñ
ruuh o jism o jaañ malbūs hue
vaqt aur makāñ ke sirr-e-nihāñ malbūs hue
is ishq se ye asrār khulā
ham zinda haiñ aur rāh-e-fanā meñ jaulāñ haiñ
ik roz ye dil bujh jā.egā
bas nūr-e-ḳhudā rah jā.egā
vo ishq jo ham ko lāhiq thā
asrār-e-vajūd o ramz-e-adam sab khol gayā
wo ishq jo hum ko lahiq tha
shab-ha-e-siyah ke daman mein
asrar junun ke khol gaya
bahr-e-maujud ke markaz se
ek mauj-e-talatum-KHez uTThi
ek dard ki lahar uThi dil ke rauzan se
jis mein simaT gae
donon aalam ke ranj o tarab
aur hast-o-bud ke mahwar par
ranj o rahat ham-raqs hue
furqat ke tanha lamhon mein
aabaad thi ek duniya-e-fusun
raftar-e-gham ki mauj-e-rawan
aawara bagule yaadon ke
barish ki maddham bundon ke
sargam ki farawan mausiqi
ashjar ki raqsan shaKHon se
chhanta hua fitrat ka jadu
duniya-e-nashat-o-dard ki lai
andoh o alam ka ek aalam
taKHliq ke larzan sine ke asrar-e-nihan
naghma-bar-lab ye arz o sama
nauha dard-e-dil baatin ki faza
taKHliq jahan ke sar nihan
patte patte ki rangat mein
harf kin ka jadu larzan
sab ek wahdat mein jazb hue
ek wajd aagin ehsas mein
ruh o jism o jaan malbus hue
waqt aur makan ke sirr-e-nihan malbus hue
is ishq se ye asrar khula
hum zinda hain aur rah-e-fana mein jaulan hain
ek roz ye dil bujh jaega
bas nur-e-KHuda rah jaega
wo ishq jo hum ko lahiq tha
asrar-e-wajud o ramz-e-adam sab khol gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.