wo jaante hi nahin
maiñ tum se chhūT rahā huuñ mire pyāro
magar mirā rishta puḳhta ho rahā hai is zamīñ se
jis kī god meñ samāne ke liye
maiñ ne puurī zindagī rehearsal kī hai
kabhī kuchh kho kar kabhī kuchh pā kar
kabhī hañs kar kabhī ro kar
pahle din se mujhe apnī manzil kā pata thā
isī liye maiñ kabhī zor se nahīñ chalā
aur jinheñ zor se chalte dekhā
taras khāyā un kī hālat par
is liye ki vo jānte hī na the
ki vo kyā kar rahe haiñ
main tum se chhuT raha hun mere pyaro
magar mera rishta puKHta ho raha hai is zamin se
jis ki god mein samane ke liye
main ne puri zindagi rehearsal ki hai
kabhi kuchh kho kar kabhi kuchh pa kar
kabhi hans kar kabhi ro kar
pahle din se mujhe apni manzil ka pata tha
isi liye main kabhi zor se nahin chala
aur jinhen zor se chalte dekha
taras khaya un ki haalat par
is liye ki wo jaante hi na the
ki wo kya kar rahe hain
- Book : Mausam Andar Bahar ke (Pg. 39)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.