wo jo kahin nahin hai
terā koī din nahīñ
terā koī ruup nahīñ
abū-suifyān kī hiñda
is rañg-manch meñ
terī koī jagah nahīñ
ajdād ke intiqām meñ
tū kahāñ hai
nasloñ kī ḳhūn-āshām jañg meñ
tū jaltī rahī
kaleja chabāne se husain kā ḳhuun bahāne tak
zamīn-o-āsmān tujhe malāmat karte rahe
bad-baḳht-o-shikast-ḳhurda
hiñda bint-e-atba
terā qabīla terī vahshat se pahchānā gayā
terā pāgal-pan
terī vaj.h-e-shohrat hai
kisī faisle kisī raa.e meñ terā koī havāla nahīñ
tujhe vahshī banāne vaale tere adh mare aslāf
terī kokh zahr-ālūd kar ke
tujhe be vajūd kar ke
zamīn par musallat rahe aaseb ban kar
bad-baḳht hiñda
jo itnā shu.ūr tujhe hotā
to samajh paatī
jabrī nizām raa.ij karne ke liye
har baar kokh barbād kī ga.ī
tera koi din nahin
tera koi rup nahin
abu-suifyan ki hinda
is rang-manch mein
teri koi jagah nahin
ajdad ke intiqam mein
tu kahan hai
naslon ki KHun-asham jang mein
tu jalti rahi
kaleja chabane se husain ka KHun bahane tak
zamin-o-asman tujhe malamat karte rahe
bad-baKHt-o-shikast-KHurda
hinda bint-e-atba
tera qabila teri wahshat se pahchana gaya
tera pagal-pan
teri wajh-e-shohrat hai
kisi faisle kisi rae mein tera koi hawala nahin
tujhe wahshi banane wale tere adh mare aslaf
teri kokh zahr-alud kar ke
tujhe be wajud kar ke
zamin par musallat rahe aaseb ban kar
bad-baKHt hinda
jo itna shuur tujhe hota
to samajh pati
jabri nizam raij karne ke liye
har bar kokh barbaad ki gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.