wo kitab
mirī zindagī kī likhī huī
mire tāq-e-dil pe sajī huī
vo kitāb ab bhī hai muntazir
jise maiñ kabhī nahīñ paḌh sakī
vo tamām baab sabhī varaq
haiñ abhī talak bhī juḌe hue
mirā ahd-e-dīd bhī aaj tak
unheñ vo judā.ī na de sakā
jo har ik kitāb kī ruuh hai
mujhe ḳhauf hai ki kitāb meñ
mire roz-o-shab kī aziyyateñ
vo nadāmateñ vo malāmateñ
kisī hāshiye pe raqam na hoñ
maiñ fareb-ḳhurda-e-bartarī
maiñ asīr-e-halqa-e-buz-dilī
vo kitāb kaise paḌhūñgī maiñ?
meri zindagi ki likhi hui
mere taq-e-dil pe saji hui
wo kitab ab bhi hai muntazir
jise main kabhi nahin paDh saki
wo tamam bab sabhi waraq
hain abhi talak bhi juDe hue
mera ahd-e-did bhi aaj tak
unhen wo judai na de saka
jo har ek kitab ki ruh hai
mujhe KHauf hai ki kitab mein
mere roz-o-shab ki aziyyaten
wo nadamaten wo malamaten
kisi hashiye pe raqam na hon
main fareb-KHurda-e-bartari
main asir-e-halqa-e-buz-dili
wo kitab kaise paDhungi main?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.