wo kya maslahat thi
maiñ āġhāz-e-hastī se havvā kī sūrat
huuñ aadam kī ḳhvāhish kā ik shāḳhsāna
zamīñ ko basāne kā bas ik bahāna!
maiñ roz-e-abad nekiyoñ kā sila huuñ
na jaane maiñ kyā huuñ
gila ḳhāliq-e-kul se kaise karūñ maiñ
usī kī razā huuñ
ye hai faḳhr-e-ādam
ki bas ibn-e-ādam
amīn-e-ḳhudā hai qarīn-e-ḳhudā hai
mirī hastī kyā hai
faqat vāsta hai!
ye taslīm hai
har sahīfe meñ
maiñ ābida momina sāliha thī
magar jab farishtoñ ne aadam ko sajda kiyā thā
to havvā kahāñ thī
maiñ rūhoñ ke iqrār ke vaqt
jaane kahāñ kaun sī saf meñ thī
yā nahīñ thii?
agar thī to iqrār bhī to kiyā thā
adam meñ agar ruuh ḳhud-muktafī thī
to phir ḳhāliq-e-kun-fakāñ kī vo kyā maslahat thī
ki maiñ dūsrī thī!!
main aaghaz-e-hasti se hawwa ki surat
hun aadam ki KHwahish ka ek shaKHsana
zamin ko basane ka bas ek bahana!
main roz-e-abad nekiyon ka sila hun
na jaane main kya hun
gila KHaliq-e-kul se kaise karun main
usi ki raza hun
ye hai faKHr-e-adam
ki bas ibn-e-adam
amin-e-KHuda hai qarin-e-KHuda hai
meri hasti kya hai
faqat wasta hai!
ye taslim hai
har sahife mein
main aabida momina saliha thi
magar jab farishton ne aadam ko sajda kiya tha
to hawwa kahan thi
main ruhon ke iqrar ke waqt
jaane kahan kaun si saf mein thi
ya nahin thi?
agar thi to iqrar bhi to kiya tha
adam mein agar ruh KHud-muktafi thi
to phir KHaliq-e-kun-fakan ki wo kya maslahat thi
ki main dusri thi!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.