wo laDki
vo laḌkī yaad aatī hai
jo hoñToñ se nahīñ puure badan se baat kartī thī
simaTte vaqt bhī chāroñ dishāoñ meñ bikhartī thī
vo laḌkī yaad aatī hai
vo laḌkī ab na jaane kis ke bistar kī kiran hogī
abhī tak phuul kī mānind hogī yā chaman hogī
sajīlī raat
ab bhī
jab kabhī ghūñghaT uThātī hai
lachaktī kahkashāñ jab bante bante TuuT jaatī hai
koī albelī ḳhushbū baal khole muskurātī hai
vo laḌkī yaad aatī hai
wo laDki yaad aati hai
jo honTon se nahin pure badan se baat karti thi
simaTte waqt bhi chaaron dishaon mein bikharti thi
wo laDki yaad aati hai
wo laDki ab na jaane kis ke bistar ki kiran hogi
abhi tak phul ki manind hogi ya chaman hogi
sajili raat
ab bhi
jab kabhi ghunghaT uThati hai
lachakti kahkashan jab bante bante TuT jati hai
koi albeli KHushbu baal khole muskuraati hai
wo laDki yaad aati hai
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 180)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.