wo lamha jo mera tha
ik din
tum ne mujh se kahā thā
dhuup kaḌī hai
apnā saaya saath hī rakhnā
vaqt ke tarkash meñ jo tiir the khul kar barse haiñ
zard havā ke pathrīle jhoñkoñ se
jism kā panchhī ghāyal hai
dhuup kā jañgal pyaas kā dariyā
aise meñ aañsū kī ik ik buuñd ko
insāñ tarse haiñ
tum ne mujh se kahā thā
samay kī bahtī naddī meñ
lamhe kī pahchān bhī rakhnā
mere dil meñ jhāñk ke dekho
dekho sātoñ rañg kā phuul khilā hai
vo lamha jo merā thā vo merā hai
vaqt ke paikāñ be-shak tan par aan lage
dekho us lamhe se kitnā gahrā rishta hai
ek din
tum ne mujh se kaha tha
dhup kaDi hai
apna saya sath hi rakhna
waqt ke tarkash mein jo tir the khul kar barse hain
zard hawa ke pathrile jhonkon se
jism ka panchhi ghayal hai
dhup ka jangal pyas ka dariya
aise mein aansu ki ek ek bund ko
insan tarse hain
tum ne mujh se kaha tha
samay ki bahti naddi mein
lamhe ki pahchan bhi rakhna
mere dil mein jhank ke dekho
dekho saton rang ka phul khila hai
wo lamha jo mera tha wo mera hai
waqt ke paikan be-shak tan par aan lage
dekho us lamhe se kitna gahra rishta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.