wo lamha kaisa hota hai
jo bār-āvar nahīñ hotā
vo lamha kaisā hotā hai
jo rañg-o-ḳhusbūoñ ke ābgīne toḌ detā hai
jo yādoñ kī khulī āñkhoñ ko
apne sard hāthoñ ke asar se muuñd detā hai
jo din kī raushnī meñ shab kī āmezish se
aisī sā.ateñ taḳhlīq kartā hai
jo āsūda hī hotī haiñ na afsurda hī hotī haiñ
kabhī hañstī kabhī be-tarah rotī haiñ
jo rasta khojtī aur manziloñ ko bhuul jaatī haiñ
jo zinda haiñ na martī haiñ
jo Dartī haiñ adā-e-vaqt se
ruktī na chaltī haiñ
fasīl-e-be-yaqīnī par rakhī
sham.oñ kī sūrat
aas meñ bujhtī na jaltī haiñ
jo aisī sā.ateñ taḳhlīq kartā hai
vo lamha kaisā hotā hai
kisī pādāsh kī takmīl kā hissa
ki harf-e-kātib-e-taqdīr hotā hai
jo bar-awar nahin hota
wo lamha kaisa hota hai
jo rang-o-KHusbuon ke aabgine toD deta hai
jo yaadon ki khuli aankhon ko
apne sard hathon ke asar se mund deta hai
jo din ki raushni mein shab ki aamezish se
aisi saaten taKHliq karta hai
jo aasuda hi hoti hain na afsurda hi hoti hain
kabhi hansti kabhi be-tarah roti hain
jo rasta khojti aur manzilon ko bhul jati hain
jo zinda hain na marti hain
jo Darti hain ada-e-waqt se
rukti na chalti hain
fasil-e-be-yaqini par rakhi
shamon ki surat
aas mein bujhti na jalti hain
jo aisi saaten taKHliq karta hai
wo lamha kaisa hota hai
kisi padash ki takmil ka hissa
ki harf-e-katib-e-taqdir hota hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 503)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.