wo mar gai thi
us ke zahrī hoñT kaale paḌ ga.e the
us kī ā.ankhoñ meñ
adhūrī ḳhvāhishoñ ke devtāoñ ke
janāze gaḌ ga.e the
us ke chehre kī shafaq kā rañg
ghā.el ho chukā thā
us ke jalte jism kī ḳhushbū kā sūraj
parbatoñ kī choTiyoñ se nīche gir kar
TukḌe TukḌe ho chukā thā
us kī chhātī par
sulagte chāñd ke sāyoñ ke patthar
rāsta roke khaḌe the
us ke jalte jism ke jhulse hue sahrā meñ
piilī hasratoñ ke āsmāñ
pyāse paḌe the
band kamre meñ
mirī maujūdgī se Dar ga.ī thī
vo mar ga.ī thī
us ke zahri honT kale paD gae the
us ki aaankhon mein
adhuri KHwahishon ke dewtaon ke
janaze gaD gae the
us ke chehre ki shafaq ka rang
ghael ho chuka tha
us ke jalte jism ki KHushbu ka suraj
parbaton ki choTiyon se niche gir kar
TukDe TukDe ho chuka tha
us ki chhati par
sulagte chand ke sayon ke patthar
rasta roke khaDe the
us ke jalte jism ke jhulse hue sahra mein
pili hasraton ke aasman
pyase paDe the
band kamre mein
meri maujudgi se Dar gai thi
wo mar gai thi
- Book : Hashr ki subh darakhshaz ho (Pg. 186)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.