wo pal
agar vo pal mujhe ik baar mil jaa.e to maiñ pūchhūñ
ki ye saudā mire sar meñ samāyā kis liye tū ne
ye dard-e-lā-davā dil meñ jagāyā kis liye tū ne
ḳhirad idrāk aql-o-fahm sab begār hoñ jaise
farāsat dūr-bīnī āgahī bekār hoñ jaise
havāle isti.āre mashvare dushvār hoñ jaise
dalā.el falsafe mantiq zehn par baar hoñ jaise
basīrat hoshiyārī ilm sab ḳhāmosh tasvīreñ
na koī mashvara achchhā na dānish-mand tadbīreñ
musalsal be-kalī dīvāngī hai ḳhud-farāmoshī
faqat ik be-ḳhudī āThoñ pahar pur-kaif mad-hoshī
nazar har shakl meñ DhūñDe usī dildār kī sūrat
har ik āvāz jaise sāhab-e-āvāz kī mūrat
samā.at par nazar par soch par aaseb chhāyā hai
har aahaT par tamannā pūchhtī hai kaun aayā hai
agar wo pal mujhe ek bar mil jae to main puchhun
ki ye sauda mere sar mein samaya kis liye tu ne
ye dard-e-la-dawa dil mein jagaya kis liye tu ne
KHirad idrak aql-o-fahm sab begar hon jaise
farasat dur-bini aagahi bekar hon jaise
hawale istiare mashware dushwar hon jaise
dalael falsafe mantiq zehn par bar hon jaise
basirat hoshiyari ilm sab KHamosh taswiren
na koi mashwara achchha na danish-mand tadbiren
musalsal be-kali diwangi hai KHud-faramoshi
faqat ek be-KHudi aaThon pahar pur-kaif mad-hoshi
nazar har shakl mein DhunDe usi dildar ki surat
har ek aawaz jaise sahab-e-awaz ki murat
samaat par nazar par soch par aaseb chhaya hai
har aahaT par tamanna puchhti hai kaun aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.