wo sahil-e-shab pe so gai thi
niile sāyoñ kī raat thī vo
vo sāhil-e-shab pe so ga.ī thī
vo niile saa.e
havā ke chehre pe aur badan pe
aur us kī āñkhoñ meñ so rahe the
aur us ke hoñToñ pe
surḳh ḳhushbū kī dhuup
us shab chamak rahī thī
vo sāhil-e-shab vo niile paanī
vo āsmānoñ se surḳh pattoñ kī tez bārish
vo tez bārish badan pe us ke
gulāb-mausam ke in dinoñ meñ
vo sāhil-e-shab pe so ga.ī thī
vo surḳh ḳhushbū kī tez dhūpoñ meñ
kho ga.ī thī
nile sayon ki raat thi wo
wo sahil-e-shab pe so gai thi
wo nile sae
hawa ke chehre pe aur badan pe
aur us ki aankhon mein so rahe the
aur us ke honTon pe
surKH KHushbu ki dhup
us shab chamak rahi thi
wo sahil-e-shab wo nile pani
wo aasmanon se surKH patton ki tez barish
wo tez barish badan pe us ke
gulab-mausam ke in dinon mein
wo sahil-e-shab pe so gai thi
wo surKH KHushbu ki tez dhupon mein
kho gai thi
- Book : Prindey,phool taalab (Pg. 351)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.