wo samajhte rahen england ka mal achchha hai
wo samajhte rahen england ka mal achchha hai
Aaftab Rais Panipati
MORE BYAaftab Rais Panipati
sarfaroshān-e-vatan kā ye ḳhayāl achchhā hai
hind ke vāste marne kā ma.aal achchhā hai
jazba-e-hubb-e-vatan ho na agar dil meñ nihāñ
aise jiine se to marne kā ḳhayāl achchhā hai
zarra-e-ḳhāk-e-vatan mehr-e-daraḳhshāñ hai mujhe
vo samajhte raheñ england kā maal achchhā hai
jāñ-ba-lab hai sitam-ījād ke hāthoñ se vatan
kaun kahtā hai mire hind kā haal achchhā hai
un ko paris ke nazāroñ pe fidā hone do
mujh ko bhārat ke liye rañj-o-malāl achchhā hai
karne detā nahīñ jallād zabāñ se uf tak
dil meñ kahtā hai ġharīboñ kā savāl achchhā hai
lājpat-rā.e kī shamshān se aatī hai sadā
mulk kī raah meñ miTne kā ḳhayāl achchhā hai
apne matlab ke liye mulk kā dushman jo bane
aise kambaḳht kā duniyā meñ zavāl achchhā hai
zar ke thāloñ meñ mutton chaap uḌāne do unheñ
ham ġharīboñ ko magar jām-e-sifāl achchhā hai
'āftāb' aaj phañsā jaatā hai phir tā.ir-e-dil
haa.e afsos ki sayyād kā jaal achchhā hai
sarfaroshan-e-watan ka ye KHayal achchha hai
hind ke waste marne ka maal achchha hai
jazba-e-hubb-e-watan ho na agar dil mein nihan
aise jine se to marne ka KHayal achchha hai
zarra-e-KHak-e-watan mehr-e-daraKHshan hai mujhe
wo samajhte rahen england ka mal achchha hai
jaan-ba-lab hai sitam-ijad ke hathon se watan
kaun kahta hai mere hind ka haal achchha hai
un ko paris ke nazaron pe fida hone do
mujh ko bhaarat ke liye ranj-o-malal achchha hai
karne deta nahin jallad zaban se uf tak
dil mein kahta hai gharibon ka sawal achchha hai
lajpat-rae ki shamshan se aati hai sada
mulk ki rah mein miTne ka KHayal achchha hai
apne matlab ke liye mulk ka dushman jo bane
aise kambaKHt ka duniya mein zawal achchha hai
zar ke thaalon mein mutton chap uDane do unhen
hum gharibon ko magar jam-e-sifal achchha hai
'aftab' aaj phansa jata hai phir tair-e-dil
hae afsos ki sayyaad ka jal achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.