walkie talkie dadi poti
park kī pahlī dhuup se milne
uñglī se uñglī ko thāme
sab ko hello hello kartī
walkie talkie daadī potī
sahj sahj chaltī haiñ daadī
aage pīchhe phirtī potī
ruktī chaltī chaltī ruktī
walkie talkie daadī potī
ghus aayā shāyad koī kañkar
potī kī chappal ke andar
daadī jhuk ke jhaaḌ rahī haiñ
potī ko phaTkār rahī haiñ
kitnā kahā thā juutā pahno
lekin tum kis kī suntī ho
sorry daadī daadī sorry
kal se juutā hī pahnūñgī
potī āñkheñ maTkātī hai
daadī ko yuuñ bahlātī hai
park meñ jā kar baiTh ga.ī haiñ
dhuup se ḳhud ko señk rahī haiñ
lekin potī kyoñ baiThegī
park meñ aa.ī hai dauḌegī
jhūlā sī sau aur slide
lekin daadī banī haiñ guide
ye na karo ye kyā kartī ho
hai hai jo tum gir jaatī to
titlī ke par toḌ rahī ho
tauba tauba kitnī burī ho
dāman meñ phir bhar liye patthar
pheñko varna dūñgī thappaḌ
daadī ne jo dī ik jhiḌkī
laal bhabhūkā ho ga.ī potī
ab donoñ chup donoñ rūThī
un kī tolo ho ga.ī kaTTī
aayā tabhī ġhubāre vaalā
Tan Tan ghanTī ḳhuub bajātā
niile piile kitne saare
bādal chhūne vaale ġhubāre
lekin kaise pā.egī potī
daadī se to huī hai kaTTī
soch soch ke dhīre dhīre
bolī ġhubāre vaale se
mujh ko ek ġhubāra de do
paise daadī jaan se le lo
un se merī huī hai kaTTī
lekin haiñ to merī daadī
sun ke hañs diiñ bolīñ daadī
le jiitī tū maiñ hī haarī
bhayyā ek ġhubāra de do
is aafat kī parkāla ko
fitna hai shaitān kī naanī
phir bhī jaan se dil se pyārī
le ke ġhubāra hañstī hañstī
ghar ko chalīñ vo pakḌe uñglī
ruktī chaltī chaltī ruktī
walkie talkie daadī potī
park ki pahli dhup se milne
ungli se ungli ko thame
sab ko hello hello karti
walkie talkie dadi poti
sahj sahj chalti hain dadi
aage pichhe phirti poti
rukti chalti chalti rukti
walkie talkie dadi poti
ghus aaya shayad koi kankar
poti ki chappal ke andar
dadi jhuk ke jhaD rahi hain
poti ko phaTkar rahi hain
kitna kaha tha juta pahno
lekin tum kis ki sunti ho
sorry dadi dadi sorry
kal se juta hi pahnungi
poti aankhen maTkati hai
dadi ko yun bahlati hai
park mein ja kar baiTh gai hain
dhup se KHud ko senk rahi hain
lekin poti kyon baiThegi
park mein aai hai dauDegi
jhula si sau aur slide
lekin dadi bani hain guide
ye na karo ye kya karti ho
hai hai jo tum gir jati to
titli ke par toD rahi ho
tauba tauba kitni buri ho
daman mein phir bhar liye patthar
phenko warna dungi thappaD
dadi ne jo di ek jhiDki
lal bhabhuka ho gai poti
ab donon chup donon ruThi
un ki tolo ho gai kaTTi
aaya tabhi ghubare wala
Tan Tan ghanTi KHub bajata
nile pile kitne sare
baadal chhune wale ghubare
lekin kaise paegi poti
dadi se to hui hai kaTTi
soch soch ke dhire dhire
boli ghubare wale se
mujh ko ek ghubara de do
paise dadi jaan se le lo
un se meri hui hai kaTTi
lekin hain to meri dadi
sun ke hans din bolin dadi
le jiti tu main hi haari
bhayya ek ghubara de do
is aafat ki parkala ko
fitna hai shaitan ki nani
phir bhi jaan se dil se pyari
le ke ghubara hansti hansti
ghar ko chalin wo pakDe ungli
rukti chalti chalti rukti
walkie talkie dadi poti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.