āsmān kī taraf dekhtī huī laḌkī ko
shāyad andāza nahīñ hai
ki us kī javānī
pastiyoñ ke safar par ravāna ho chukī hai
āsmān kī taraf dekhtī huī laḌkī ko
ye ma.alūm honā chāhiye
ki jab zamīn par
niile gumbad mismār hote haiñ
to manzil kī jānib baḌhte hue qadmoñ kī raftār
bahut maddham ho jaatī hai
aasman ki taraf dekhti hui laDki ko
shayad andaza nahin hai
ki us ki jawani
pastiyon ke safar par rawana ho chuki hai
aasman ki taraf dekhti hui laDki ko
ye malum hona chahiye
ki jab zamin par
nile gumbad mismar hote hain
to manzil ki jaanib baDhte hue qadmon ki raftar
bahut maddham ho jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.