white house
darmiyān-e-washington
ik safed building hai
jis meñ ek jādūgar
oḌh kar ajab Topī
surḳh aur kuchh niilī
sho.abde dikhātā hai
us ke ik ishāre par
sab ġharīb mulkoñ ke
sarbarāh aate haiñ
sar jhukā.e jo apne
mulk ke ġharīboñ kī
izzat-o-anā us kī
surḳh niilī Topī meñ
kapkapāte hāthoñ se
aise Daal jaate haiñ
jaise ik madārī ke
DugDugī bajāne par
us kā pāltū bandar
naach kar dikhātā hai
apnā sar jhukātā hai
us safed building ke
sāmne bahut se log
aaj mahv-e-hairat haiñ
farq sirf itnā hai
log is imārat ko
dekh kar bahut ḳhush haiñ
aur maiñ ki sharminda
us safed building meñ
qaid apnī ḳhuddārī
dekh kar fasurda huuñ
mujh ko aisā lagtā hai
apne rahnumāoñ kī
tarah maiñ bhī murda huuñ
darmiyan-e-washington
ek safed building hai
jis mein ek jadugar
oDh kar ajab Topi
surKH aur kuchh nili
shoabde dikhata hai
us ke ek ishaare par
sab gharib mulkon ke
sarbarah aate hain
sar jhukae jo apne
mulk ke gharibon ki
izzat-o-ana us ki
surKH nili Topi mein
kapkapate hathon se
aise Dal jate hain
jaise ek madari ke
DugDugi bajaane par
us ka paltu bandar
nach kar dikhata hai
apna sar jhukata hai
us safed building ke
samne bahut se log
aaj mahw-e-hairat hain
farq sirf itna hai
log is imarat ko
dekh kar bahut KHush hain
aur main ki sharminda
us safed building mein
qaid apni KHuddari
dekh kar fasurda hun
mujh ko aisa lagta hai
apne rahnumaon ki
tarah main bhi murda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.