wonderland
sandrila kī juutī bhī khoī ga.ī
munjamid qasr meñ snow-white ke favvāra chālīs foot
kī bulandī se motī luTāne lagā
apne aivān ke maḳhmalī farsh par
ek machhere kī tammā.a biivī bhī shams-o-qamar par hukūmat kī ummīd meñ
apne ḳhvāboñ kī duniyā meñ tahlīl hotī ga.ī
henis anderson aur garm bhā.iyoñ kī tarab-nāk duniyā kī ḳhākistar garm se
maiñ phir ik baar zinda huā aur
anti-allerjic ke ḳhvāb-e-āfrīñ muzmahil
kaif kī sarhadoñ se bahut duur
apnī hī duniyā meñ ik baar phir
sar ke bil chal ke talvār kī dhaar par
zindagī ke debacle kī taz.īn ko
patthar āñkhoñ se taktā rahā
sandrila ki juti bhi khoi gai
munjamid qasr mein snow-white ke fawwara chaalis foot
ki bulandi se moti luTane laga
apne aiwan ke maKHmali farsh par
ek machhere ki tammaa biwi bhi shams-o-qamar par hukumat ki ummid mein
apne KHwabon ki duniya mein tahlil hoti gai
henis anderson aur garm bhaiyon ki tarab-nak duniya ki KHakistar garm se
main phir ek bar zinda hua aur
anti-allerjic ke KHwab-e-afrin muzmahil
kaif ki sarhadon se bahut dur
apni hi duniya mein ek bar phir
sar ke bil chal ke talwar ki dhaar par
zindagi ke debacle ki tazin ko
patthar aankhon se takta raha
- Book : siip (Magzin) (Pg. v)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.