working lady
maiñ jab bhī ghar pe aatī huuñ
bahut sī chīzeñ laatī huuñ
aur un chīzoñ meñ akasr
ḳhud ko rakh kar bhuul jaatī huuñ
patā us vaqt chaltā hai
ki jab takiye pe rakhne ko
mujhe sar hī nahīñ miltā
mayassar ḳhvāb kaise hoñ
ki āñkheñ hī nahīñ hotīñ
thakan se chuur hāthoñ kī
maiñ jab jab siskiyāñ suntī huuñ
apnī kirchiyāñ chuntī huuñ
pahlū meñ kahīñ dil bhī nahīñ miltā
mujhe bas paañv milte haiñ jo paañv paañv chalte
mujhe le jaate haiñ ik aise kamre meñ
jahāñ par koī merā jism oḌhe so rahā hai
ye kis ne sūiyāñ sī ruuh meñ merī chubho dī haiñ
maiñ ḳhud ko toḌ detī huuñ vahīñ par chhoḌ detī huuñ
so bas chup chaap ghar kī sīḌhiyoñ par baiTh jaatī huuñ
havā.eñ bain kartīñ jab barābar se guzartī haiñ
pakaḌ kar haath un kā paas hī apne biThātī huuñ
na.e kuchh diip raushan kar ke ḳhud bhī muskurātī huuñ
zarā sī ek aurat huuñ
diyoñ kī lau meñ lekin jagmagātī huuñ
main jab bhi ghar pe aati hun
bahut si chizen lati hun
aur un chizon mein akasr
KHud ko rakh kar bhul jati hun
pata us waqt chalta hai
ki jab takiye pe rakhne ko
mujhe sar hi nahin milta
mayassar KHwab kaise hon
ki aankhen hi nahin hotin
thakan se chur hathon ki
main jab jab siskiyan sunti hun
apni kirchiyan chunti hun
pahlu mein kahin dil bhi nahin milta
mujhe bas panw milte hain jo panw panw chalte
mujhe le jate hain ek aise kamre mein
jahan par koi mera jism oDhe so raha hai
ye kis ne suiyan si ruh mein meri chubho di hain
main KHud ko toD deti hun wahin par chhoD deti hun
so bas chup chap ghar ki siDhiyon par baiTh jati hun
hawaen bain kartin jab barabar se guzarti hain
pakaD kar hath un ka pas hi apne biThati hun
nae kuchh dip raushan kar ke KHud bhi muskuraati hun
zara si ek aurat hun
diyon ki lau mein lekin jagmagati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.