world-bank
chalo aao
ham apne bank ke
baḌhte asāsoñ ke tanāsub se
na.ī building banā.eñ
aur is ta.amīr meñ
ham vo visā.el kaam meñ laa.eñ
jo pas-māñda mumālik ke
sabhī nādār jismoñ meñ
zaḳhīra haiñ
chalo aao
ham in jismoñ kī saarī haDDiyoñ ko
ḳhuub kūTeñ
phir in ko piis ke gaarā banā.eñ
ham in ke gosh ke TukḌe jalā kar
plastar bhī banā.eñ aur Dāmar bhī
magar saare amal meñ
vo ta.affun kam se kam ho jo
kisī bhī chiiz ke jalne se chou-tarfā
fazā meñ phuuT paḌtā hai
chalo aao
ham in jismoñ se
ek ik rag bhī khīñcheñ
aur ragoñ ko wiring ke kaam meñ laa.eñ
phir in jismoñ ke sab a.azā nichoḌeñ
aur lahū se is imārat kā
chamaktā rañg aur roġhan banā.eñ
imārat jab mukammal ho chuke to
inhīñ jismoñ se kuchh ke maġhz le kar
inheñ sarmā.e kī hiddat se pighlā.eñ
asāse aur baḌh jaa.eñ
chalo aao
hum apne bank ke
baDhte asason ke tanasub se
nai building banaen
aur is tamir mein
hum wo wisael kaam mein laen
jo pas-manda mumalik ke
sabhi nadar jismon mein
zaKHira hain
chalo aao
hum in jismon ki sari haDDiyon ko
KHub kuTen
phir in ko pis ke gara banaen
hum in ke gosh ke TukDe jala kar
plastar bhi banaen aur Damar bhi
magar sare amal mein
wo taffun kam se kam ho jo
kisi bhi chiz ke jalne se chou-tarfa
faza mein phuT paDta hai
chalo aao
hum in jismon se
ek ek rag bhi khinchen
aur ragon ko wiring ke kaam mein laen
phir in jismon ke sab aaza nichoDen
aur lahu se is imarat ka
chamakta rang aur roghan banaen
imarat jab mukammal ho chuke to
inhin jismon se kuchh ke maghz le kar
inhen sarmae ki hiddat se pighlaen
asase aur baDh jaen
- Book : ishq ki taqweem men (Pg. 196)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.